Ashra Zul-Hijjah Ki Fazilat

بسم الله والحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله
Allah Ta’ala ne jis tarah mahino me baaz mahino ko fazilat bakhshi hai, usi tarah dino me bhi kuch dino ko baqi dino se mumtaz rakha hai. Unhi dino me mah-e-Zul Hijjah ke ibtidaai 10 din hain. In das dino ki fazilat Qur’an wa Hadees me maujood hai. Aiye in 10 dino, yani Ashra Zul-Hijjah ki Fazilat par nazar dale aur in dino me kiye jane wale nek amal par tabsira kare.
Ashra Zul-Hijjah Ki Fazilat
1- Allah Ta’ala Ne In 10 Dino Ki Qasam Uthai Hai
وَ الْفَجْرِۙ۱ وَ لَیَالٍ عَشْرٍۙ۲
“Qasam hai Fajr ki! Aur das raton ki!” (Surah Al-Fajr: 1,2)
Imam Tabari (rh) farmate hain: ”Hamare nazdeek is ayat ki durust tafseer ye hai ke yahan ‘ashrah zul-hijjah murad hai, kyunke (aksar mufassireen ke aqwal) isi par jama hote hain.” (Tafsir at-Tabari, 24:348)
2- Islam Arafa ke Din Mukammal Hua
Rasoolullah ﷺ par Qur’an ki akhiri ayat “Aaj maine tumhare liye tumhara deen poora kar diya aur tum par apni nemat tamam kar di…..( Surah Al-Maida: 5:3)” Arafa ke maidan me (9 Zul Hijjah ko) he nazil hui thi. (Sahih Bukhari H# 45)
3- Duniya Ke Sab Dino Me Sabse Afzal Din
Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya: “Duniya ke afzal din (Zul-Hijjah ke shuruati) das din hain.” (Saheeh al-Jami’ as-Sagheer, H# 1133)
4- In Dino Me Kiye Gaye Amal Allah Ke Yahan Sabse Zyada Afzal
Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “In dino ke nek amal dusre dino ki nisbat Allah Ta’ala ko zyada mahboob hain.” Sahaba ne Arz kiya: “Dusre dino me kiya jane wala jihad bhi inse afzal Nahi?” Farmaya: “Nahi! Han, Agar koi admi apni jan aur mal ke sath Allah ke raste me nikle aur kuch wapas na aye (Yani Shaheed ho jaye).” (Sahih Bukhari H# 969, Abu Dawood H# 2438)
5-In Dino Me Arafah Ke Din Ki Fazilat
Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Allah Arafah ke din se zyada kisi aur din bandon ko (jahannam) aag se azad nahi karta. Allah (bandon se) qareeb hota hai, phir aur qareeb hota hai, phir unki wajah se farishton ke samne izhar-e-fakhr farmata hai, aur kahta hai: “Yeh log kya chahte hain?” (Ibn Majah H# 3014)
6- In Dino Me Yaum-un-Nahr (10 Zul Hijjah) Ki Fazilat
Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Allah ke nazdeek sabse badh kar azmat wala din Yaum-un-Nahr hai, aur uske bad Yaum-ul-Qar hai.” Abu Bakr (rh) kahte hain: Yaum-ul-Qar se murad Yaum-un-Nahr ke bad wala din (yani 11 Zul-Hijjah) hai. (Saheeh Ibn Khuzaima H# 2866)
Qurbani ke masaail janne ke liye ye mazmoon padhiye.
Ashrah Zul-Hijjah Me Karne Ke Kam
1- Qurbani Ka Irada Rakhne Wala Nakhoon Aur Bal Na Kate
Jo shakhs Qurbani ka irada rakhta ho use chahiye ki Zul Hijjah ka chand dikhte he apne nakhoon aur bal na kate. (Muslim H# 5119)
2- Jo Qurbani ki Hasiyat Na Rakhta Ho Wo Kya Kare?
Qurbani ki istita’at na rakhne wala shakhs Zul Hajjah ka chand nazar aane se pahle jism ke bal aur moonchein kat le, nakhun tarashe, phir qurbani tak is par parhez kare, to use qurbani ka poora ajr-o-sawab milega. (Musnad Ahmad: 2/169, Sunan Abi Dawood: 2789, Sunan Nisai: 4365)
3- Nek Amal Me Izafa Aur Tamam Gunaho Se Sakht Parhez
Zul-Hijjah ka mahina hurmat wale mahino me se ek hai, isme bataur khas zulm o ziyadati, qatl o ghaarat waghaira se bachna chahiye, (Surah At-Tauba: 36)
4- Takbeerat Ka Ehtimam
Rasool ﷺ ne farmaya: Allah Ta’ala ke yahan in das dino se zyada azmat wale koi din nahi, aur in das dino me kiye jane wale amal me se zyada koi amal mahboob nahi. Lihaza kasrat se Tahleel (La ilaha illallah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tahmeed (Alhamdulillah) padha karo. (Musnad Ahmad: 9/323 H# 5446)
5- Rozo Ka Ehtimam
Rasoolullah ﷺ Zul Hijjah ke shuruati 9 roze, Yaum-e-Ashoora (10 Muharram), har mahine ke teen roze aur har Jumerat (Thursday) aur Peer (Monday) ke din roze rakhte the. (Abu Dawood H# 2437)
6- Khas Taur se Arafa (9 Zul Hijjah) Ka Roza
Rasoolullah ﷺ ka irshad hai: “Arafa ke din roza rakhne ki wajah se main Allah Ta’ala se ummeed rakhta hoon ke wo isse pichhle sal ke aur ane wale sal bhar ke gunah maf farma dega.” (Saheeh Muslim H# 1162)
7- Qurbani
Ashra Zul Hijjah ka akhri din, 10 Zul Hijjah, Yaum al-Nahr kahlata hai. Is roz qurbani karna zyada afzal hai, uske bad baqi dino me.
Khulasa
In mubarak dino me Qur’an ki tilawat, nafl namaz, nafl roze, sadaqa o khairat, zikr o azkar, takbeer o tahleel aur deegar nek amal ka ehtimam kare.