Jab Imam Abu Hanifa (rh) Ne Ruju Kiya - Muttaqi
Islah

Jab Imam Abu Hanifa (rh) Ne Ruju Kiya

بسم الله والحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله

इस मज़मून को हिंदी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें.

Imam Abu Hanifa (rh) se mas’la puchha gaya ki ek admi ne kisi bagh se phal churaye hain. Misal ke taur par Santaron ka ek bagh hai aur isse phal chura liye hain. Aise admi ke bare me kya hukm hai?

Imam Abu Hanifa (rh) ne farmaya:

’’یُقْطِعُ”
“Iska Hath kata jayega”

Imam Abu Hanifa (rh) ke is Fatwe ki daleel Qur’an ki ayat hai;
“Chor Mard aur Chor Aurat ke hath kat do.” (Surat Al Maida Ayat 38)

Kaun se hath kate jayen? Ye bat hadees se sabit hai. Hath katne se matlab poora bazu katna hai ya kohni (elbow) tak katna hai ya kalai (wrist) tak, ye bhi hadees se sabit hai. Baaz Ulama ne daayan hath katne ka zikr bhi kiya hai.

Isi majlis me ek Ahle Hadees Alim maujood the, Imam Abu Awana (rh). Unhone farmaya ki humare pas Nabi Kareem ﷺ ki ek hadees hai. Phir inhone hadees padhi ki Nabi kareem ﷺ ne farmaya

(لاَ قَطْعَ فِیْ ثَمَرٍ)
“Phal churane par hath nahin kata jayega.”

Ye alfaz hadees se sabit hain. [Musnad Humaidi H# 408, Sunan Tirmizi H# 1449 wagairah. Ibne Hibban  ( H# 4449 Ya 4466 ) aur Ibne Jarood (H# 826) ne sahih kaha hai]

Imam Abu Hanifa (rh) ye hadees sunne ke bad farmate hain;

“لا یقطع، لایقطع”
“Hath nahin kate jayenge, hath nahin kate jayenge. Ye jo mera likha hua Fatwa hai use kat do.”

Isse pata chala ki Imam Abu Hanifa (rh) to hadees ko mante the. Isse ye bhi pata chala ki Imam Abu Hanifa (rh) Qur’an ki hadees ke sath takhsees ke bhi Qayal the. Isse ye bhi pata chala ki jo log kahte hain ki Qur’an ke khilaf khabre wahid nahin manenge, Imam Abu Hanifa (rh) uske Qayal nahin the.

Hawale: Is mukammal waqye ki sanad ke liye dekhiye kitab Assunnah Li Abdullah Bin Ahmad Bin Hambal H# 380, Sanad Sahih

Imam Abu Awana ka nam Abu Awana Wazah Bin Abdullah Al Yashkari tha. Rahmatullah Alaih.

Khulasa: Maloom hua ki Imam Abu Hanifa (rh) Sahih Hadees ke Qayal aur us par Amal karne wale the aur iske sath Qur’an majeed ki takhlees ke bhi Qayal the. Haq ki taraf rujoo karna, Ahle Iman ki nishani hai.

Ye mazmoon Hafiz Zuabair Ali Zai (rh) ki video se liya gaya hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button