Kya Nabi ﷺ Ka Saya Tha?
بسم الله والحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله
इस मज़मून को हिंदी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें.
Allah ke Habeeb ﷺ ka saya tha ya nahi, is bare me ummat me 2 nazariye samne aate hain. Ek giroh kahta hai ki saya tha, dusra kahta hai ki saya nahin tha. Is post me hum dekhenge ki Ahle Sunnat wal Jama’at ki taleematn ke mutabiq Qur’an aur sabit shuda hadeeso se kya pata chalta hai, In sha Allah.
Kya Rasoolullah ﷺ hazir aur nazir hain?
Qur’an Se Dalaail
Rasoolullah ﷺ Allah ke azeemush shan Nabi aur insan the. Allah ne aapko silsila insaniyat hi se paida kiya tha aur insan hone ke aitbar se ye bat zaruri hai ki insan ka saya, parchhai (shadow) hoti hai. Qur’an Majeed me Allah Ta’la ne irshad farmaya hai;
وَلِلَّهِ يَسْجُدُ مَن فِى ٱلسَّمَـٰوَٰتِ وَٱلْأَرْضِ طَوْعًا وَكَرْهًا وَظِلَـٰلُهُم بِٱلْغُدُوِّ وَٱلْـَٔاصَالِ
“Aur jitni makhlooqat asmano aur zameen me hain, khushi aur nakhushi se Allah ke aage sajda karti hain aur unke saye bhi subah sham sajda karte hain.” (Surah Ra’d V#15)
Ek aur maqam par farmaya;
أَوَلَمْ يَرَوْا۟ إِلَىٰ مَا خَلَقَ ٱللَّهُ مِن شَىْءٍ يَتَفَيَّؤُا۟ ظِلَـٰلُهُۥ عَنِ ٱلْيَمِينِ وَٱلشَّمَآئِلِ سُجَّدًا لِّلَّهِ وَهُمْ دَٰخِرُونَ
“Kya unhonen Allah ki makhlooq me se kisi ko bhi nahin dekha? Ki iske saye daaye baayen jhuk-jhuk kar Allah ke samne sajda karte hain aur aajizi ka izhar karte hain.” (Surah Nahl V#48)
➤ In do ayat se maloom hota hai ki Zameen aur Asman me Allah ne jitni makhlooq paida ki hain unka saya bhi hai aur Rasoolullah ﷺ bhi to Allah ki makhlooq hain. Lihaza aapka bhi saya tha. Aap ﷺ ke saye ke mutalliq kai ahadees maujood hain.
Hadeeson Se Dalaail
⬤ Sayyidna Anas (RA) farmate hain ki ek rat Nabi Kareem ﷺ ne hame namaz padhai aur namaz ki halat me apna hath achanak aage badhaya, magar phir jald hi pichhe hata liya. Hamne arz kiya ‘Ae Allah ke Rasool ﷺ aaj aapne khilaf mamool namaz me ek naya amal kiya hai. Aap ﷺ ne farmaya nahi, balki bat ye hai ki mere samne abhi abhi Jannat pesh ki gai, maine isme behtreen phal dekhe to dil me aya ki isme se kuch uchak loo. Magar fauran hukm mila ki pichhe hat jao, main pichhe hat gaya. Phir mujh par Jahannam pesh ki gai yahan tak ki iski raushni me maine apna aur tumhara saya dekha. Yah dekhte hi maine tumhari taraf ishara kiya pichhe hut jao.’ (Sahih Ibn Khuzaima H# 892, Mustadrak Hakim 4/456)
⬤ Ek aur hadees me hai;
Sayyida Zainab (RA) aur Sayyida Safiyya (RA) ek safar me Rasoolullah ﷺ ke sath thi, Safiyya (RA) ke pas ek Oont tha aur wo beemar ho gaya. Jabki Zainab (RA) ke pas do Oont the. Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Tum ek zyada Oont Safiyya ko de do. To inhone kaha main is yahoodi ko kyon doon? Is par Rasoolullah ﷺ naraz ho gaye. Taqreeban 3 mahino tak Zainab (RA) ke pas na gaye. Yahan tak ki Zainab (RA) ne mayoos hokar apna saman bandh liya. Zainab (RA) farmati hain ki achanak dekhti hun ki dopahar ke waqt Nabi Kareem ﷺ ka saya aa rha hai. [Musnad Ahmad (6/131,132), Tabaqat Ibn Saad (8/127), Majma Uz Zawaaid (4/323)]
Aqli Dalaail
⬤ Aqli taur par bhi maloom hota hai ki saya faqat us jism ka hota hai jo thos ho aur suraj ki kirnon ko aage guzarne na de. Lekin agar wo jism itna Saf aur Shaffaf (Transparent) ho ki suraj ki kirnon ko rok hi nahin sakta to iska saya beshak nazar nahin aata.
Maslan Saf aur Shaffaf Sheesha agar dhoop me laya jaye to iska saya dikhai nahin deta kyunki isme kirnon ko rokne ki salahiyat hi nahin hoti. Bakhilaf uske Nabi Kareem ﷺ ka jism Athar Nihayat thos tha, uski banawat Sheeshe ki tarah nahin thi ki jisse sab kuch guzar jaye.
Lamuhala Aapka saya tha. Agar Jism Athar ﷺ ka saya mubarak na tha to jab Aap ﷺ libas pahnte to kya uska bhi saya na tha. Agar wo kapde itne Shaffaf the ki unka saya na tha to phir unke pahnne se satar waghairah ki hifazat kaise mumkin hogi?
⬤ Saye ka inkar karne wale aqli daleel bhi dete hain ki Aap ﷺ noor the aur noor ka saya nahin hota. Beshak Aap ﷺ ke zariye insaniyat gumrahi ke andhero se hidayat ki raushni me aai. Is lihaz se Aap ﷺ ko sifat ke taur par noor kah diya jaye to koi harj nahi. Lekin Aap ﷺ ki paidaish noor se hone ya jism ka noor hone ki koi daleel Kitab-o-Sunnat me maujood nahin hai.
Isi tarah noor ka saya na hone wali bat bhi sarasar ghalat hai. Noor se bani makhlooq ka saya hadeeso se sabit hai. Jab Sayyidna Jabir (RA) ke walid Abdullah (RA) Ghazwa Uhud me shadeed ho gaye to unke ghar wale unke aas paas jama ho gaye aur rone lage. To Rasoolullah ﷺ ne farmaya;
مَا زَالَتِ الْمَلاَئِكَةُ تُظِلُّهُ بِأَجْنِحَتِهَا حَتَّى رَفَعْتُمُوهُ
“Jab tak tum unko yaha se utha nahin lete us waqt tak farishte is par apne paron (pankho, wings) ka saya kiye rahenge.” (Bukhari 1244)
⬤ Is mamle me ek aur daleel ye bhi di jati hai ki Aap ﷺ ka saya isliye nahin tha ki agar kisi ka pair Aap ﷺ ke saye par pad jata to Aap ﷺ ki tauheen ho jati, isliye Allah ne aapka saya paida hi nahin kiya.
Ye bat bhi khilafe haqeeqat hai kyunki saya paon ke neeche ban hi nahin sakta, jab bhi koi shakhs saye par pair rakhega to saya uske paon ke upar ho jayega na ki niche.
Ye bhi padhen Kya Nabi ﷺ Bashar The?
Khulasa
➤ Nichod ye hai ki Nabi ﷺ ka saya na hone par Qur’an, Sahih Hadees, Ijma ya Sahaba ke Qaul se kuch bhi nahin milta. Balki charo Imamo me se kisi ek Imam se bhi aisa koi Qaul sabit nahin.
Aur phir Nabi ﷺ ke sadiyon bad Allama Suyooti, Qastalani, Zarqani aur Mulla Ali Qari (Rh) waghairah ke besanad hawalon ki koi ilmi haisiyat nahin hai. Aur Hakeem Tirmizi ki taraf mansoob jis riwayat ko Allama Suyooti ne Al Khasais Al kubra (1/68) me zikr kiya hai. uski sanad me Abdurrahman Malik Bin Abdullah Bin Waleed na maloom hai. Khulasa ye hai ki wo riwayat Zaeef hai.
Lihaza Kitab-o-Sunnat ke khilaf, Be-Aqli ki Be-Sanad baaten, haqeeqat me hoi haisyat nahin rakhti.
Ye mazmoon muhaddis Zubair Alizai (Rh) ki ‘Al-Hadees’ Shumara #40 pg #10 aur Mubashshir Ahmad Rabbani (hz) ki ‘Aapke Masaail Aur Unka Hal’ pg #39-40 se liya gaya hai.