Nabi ﷺ Ka Hazir Aur Nazir Hona - Muttaqi
Aqeedah

Nabi ﷺ Ka Hazir Aur Nazir Hona

इस मज़मून को हिंदी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें.

Ahle sunnat Wal Jama’t ke Qur’an aur Sunnat ke muwafiq Ittifaqi Aqeede ko chhodte hue kuch logo ne Nabi ﷺ ke Hazir Aur Nazir hone ka Aqeeda gadh rakha hai.

Is Aqeede ke mutabiq Nabi Akram ﷺ wafat ke bad apne jism ke sath Madina Munawwara me apni Qabr me tashreef farma hain aur tamam kainat Aap ﷺ ke samne hazir hai jise Aap ﷺ mulahiza farma rahe hain. Aap ﷺ jab chahen, jahan chahe tashreef le ja sakte hain. Aap ﷺ ek waqt me kai jagahon par ek sath tashreef le jana chahen to ye bhi mumkin hai.

Ye aqeeda Sahaba Kiram (RA), Charon Imam Aur Muhaddiseen se bilkul sabit nahin hai. Balki aqeede par likhi gai sabse pahli kitabon me se ek, Aqeed Tut Tahawiya jo Imam Tahawi (rh) ki likhi hui hai, usme bhi Aisa koi aqeeda nahin milta. Isi tarah Imam Ibne Taimiya (rh) ki Aqeed Tul Wasitiya me bhi aisa koi aqeeda nahi hai.

Is batil aqeede ke khilaf hum bahut mukhtasar andaz me Qur’an aur Hadees se Dalaail Zikr kar rahe hain. Aap Hazrat Tassub se door rah kar mutala farmaen.

Qur’ani Dalaail

“Ye Baaten Ghaib (Unseen) ki khabron me se hain jo hum Aapke pas wahy (revelation) bhej rahen hain. Aur Aap (Ai Nabi ﷺ!) us waqt unke pas nahi the, jab wo apni Qalamon ko (Qura, gutiya ke taur par) phenk rahe the ki unme kaun Maryam (AS) Ki parwarish karega, aur na hi Aap us waqt unke pas the jab wo jhagad rahe the.” (Ale-Imran 3:44)
➤ Is Ayat-e-Kareema ki tafseer me mashhoor Sunni Mufassir Hafiz Ibne Kaseer Rh (wafat 774 hijri) farmate hain:

مَا کُنْتَ عِنْدَہُمْ یَا مُحَمَّدُ فَتُخْبِرَہُمْ عَنْہُمْ مُعَایِنَۃً عَمَّا جَرٰی، بَلْ أَطْلَعَکَ اللّٰہُ عَلٰی ذٰلِکَ کَأَنَّکَ کُنْتَ حَاضِرًا وَّشَاہِدًا لِّمَا کَانَ مِنْ أَمْرِہِمْ، حِینَ اقْتَرَعُوا فِي شَأْنِ مَرْیَمَ أَیُّہُمْ یَکْفُلُہَا

“Yani Ai Muhammad ﷺ! Aap unke pas nahin the ki unke bare me is waqye ka ankho dekha hal bayan karte. Balki Allah Ta’la ne Aapko is bare me yun Ittila di ki jaise Aap Maryam (AS) ke mamle me unki Qura Andazi me Hazir aur Chashmdeed gawah the.” (Tafseer Ibne Kaseer 2/42)

Aur (Ai Nabi ﷺ! toor pahad ke) Maghrib (West) ki taraf jabki humne Moosa (AS) ko hukm ki wahy (revelation) pahunchai the, na to Aap maujood the aur na Aap dekh rahe the.(Al Qasas 28:44)

➤ Hafiz Ibne Kaseer (rh) is ayat ki tafseer me farmate hain:

مَا کُنْتَ حَاضِرًا لِّذٰلِکَ، وَلٰکِنَّ اللّٰہَ أَوْحَاہُ إِلَیْکَ

“Yani (ay Nabi ﷺ!) Aap is waqye ke waqt hazir na the balki Allah ne wahi ke zariye aapko uski khabar di hai.” (Tafsir Ibne Kaseer 6/240)

Aur na Aap toor ki taraf the jab ki samne awaz di. Balki (Ye khabar) Aapke parwardigar ki taraf se ek rahmat hai. Isliye ki Aap un logon ko hoshiyar kar den jinke pas Aapse pahle koi darane wala nahin pahuncha taki wo naseehat hasil kar len. (Al Qasas 28:46)

Aur (Ai Nabi ﷺ!) na Aap madyan ke rahne walon me se the ki unke samne humari ayaton ko tilawat karte, balki hum hi Rasoolon ke bhejne wale hain. (Al Qasas 28:45)

(Ai Nabi ﷺ kah deijiye ki) mujhe un buland Qadr Farishton (ki baatcheet ka) koi ilm hi nahin jabki wo jhagad rahe the. (Sad 38:69)

Ye baaten ghaib ki khabron me se hain jiski hum Aapki taraf wahy kar rahe hain. Aap unke pas na the jabki unhone apni bat thaan li thi aur wo fareb karne lage the. (Yusuf 12:102)
➤ Sunni Imam aur Mufassir Ibne Jareer Tabri Rh (224-310) is ayat ki tafseer me likhte hain:
“Allah Ta’la farma raha hai ki (Ai Nabi ﷺ!) Aap us waqt Yusuf (AS) ke bhaiyon ke pas hazir nahin the jab unhone Yusuf (AS) ko gahre kuwen (Well) me phenkne ka poora irada kar liya tha aur is bare me unki rai muttafiq ho gai thi aur unke irade pukhta ho gaye the.” (Tafseer Tabri 13/98)

Hadeeson Se Dalaail

Sayyida Aisha (RA) ka bayan hai “ek rat maine Rasoolullah ﷺ ko gum paya. Maine samjha ki Aap kisi biwi ke ghar chale gaye honge to maine talash kiya…” (Sahih Muslim H# 1089)

Sayyida Aisha (RA) ka bayan hai “ek rat maine Rasoolullah ﷺ ko bistar par nahin paya to unko talash karne lagi …..” (Sahih Musim H# 1090)
Andaza lagaiye ki Aap ﷺ ki chaheeti biwi apne ghar aur bistar par Nabi ﷺ ko unki hayat me nahi dhoondh pa rahi hain to baqi logon ka Aap ﷺ ke wafat ke bad unko hazir samajhna kitni bewaqoofana bat hai!

Sayyidna Abu Hurairah (RA) bayan karte hain: “Wo Madina Munawwara ke ek raste me Nabi ﷺ se mile. Us waqt wo janabat (Napaki) ki halat me the, lihaza chupke se khisak gaye aur ja kar ghusl kiya. Nabi Akram ﷺ ne unhe talash kiya. Jab we aye to Aap ﷺ ne farmaya: Abu Hurairah! Aap kahan the?” (Sahih Muslim H# 824)

Sayyidna Abdullah Ibne Masood (RA) farmate hain ki hum ek rat Rasoolullah ﷺ ke sath the. Achanak Aap ﷺ kahin gum ho gaye. Humne Aapko wadiyon aur ghatiyon me talash kiya… (Sahih Muslim H# 1007)

Nabi Akram ﷺ ne farmaya: “Abu Bakr (RA) mere pas aye aur kahne lage, Ai Allah ke Rasool ﷺ! Aap kahan the? Maine Aapko Aapke ghar me talash kiya tha. Maine kaha: “Kya Aapko maloom hai ki main aj rat Baitul-Maqdis gaya tha?” (Mo’ajam Al-Kabeer Tabarani 7/283 H# 7142, Musnad Al Bazzar H# 3484, Dalaailun nubuwwa Baihaqi 2/107-109)

Jang-e-Uhud ke mauqe par Rasool-e-Akram ﷺ ne Sayyidna Saad Bin Abi Waqqas (RA) se farmaya! “Saad, aj Aap kahan the?” (Mustadrak Hakim 3/26 H# 4314)

Sayyidna Mugheera Bin Shoaba (RA) ka bayan hai: “Main Nabi Akram ﷺ ke sath ek safar me tha. Aap ﷺ ne farmaya: Ai Mugheera! (pani wala) bartan pakdo. Maine bartan pakad liya. Phir Aap ﷺ chalte gaye yahan tak ki mujhse chhup gaye. Qaza-E-Hajat (Peshab-Pakhana) se farigh hue.” (Sahih Bukhari H# 363, Sahih Muslim H# 629)

◆ Kya jo shakhs doosron se itna door ho jaye ki unki ankhon se ojhal ho jaye, wo har jagah Hazir aur Nazir ho sakta hai?

➤ Hazrat! Aap in Qur’ani Ayate Mubaraka aur Sahih Ahadees-e-Nabwi par ghaur karen aur khud faisla karen ki Rasoolullah ﷺ ke hazir aur nazir hone ka aqeeda Qur’an aur Sunnat ke muwafiq hai ya mukhalif?

Allah ne khud Aap ﷺ ke mukhtalif jagaho par Maujood na hone ki bat ki hai. Isi tarah khud Rasool-e-Akram ﷺ Sahaba Kiram (RA) se sawal farmate the ki أَیْنَ کُنْتَ؟ (Aap kahan the)? Sahaba Kiram (RA) bhi Aap ﷺ se poochh lete the ki أَیْنَ کُنْتَ؟ (Aap kahan the)? Agar Nabi Akram ﷺ har jagah Hazir Aur Nazir hote to Aap ﷺ ko aur Sahaba Kiram ko ye jumla kahne ki kya zarurat thi!

Ilm aur Aql ka kya taqaza hai? Qu’an aur hadees kis tarah rahnumai karte hain? Haq aur insaf ki pukar kya hai? Faisla Aap par hai!!!

Aqeeda Hazir-O-Nazir par ek Ayat se Istidlal

Kuch log Nabi Kareem ﷺ ke har jagah Hazir-Nazir hone par ek ayat pesh karte hai:

“(Ai Nabi!) kya Aap jante Hain ki Aapke rab ne hathi walon ka kya hashr kiya?” (Al Feel: 1)

Rooiyat (dekhna) 2 tarah ki hoti hai, basari (yani ankho ke zariye) aur Ilmi (Yani ilm ke zariye). Upar wali ayat me murad Rooiyat ilmi hai. Yani Allah Ta’la, Nabi ﷺ ko us waqye ki ittila de rahe hain.

Jabki kuch log is ayat me rooiyat basari murad lete hain aur ye ehsas karane ki koshish karte hain ki Nabi Kareem ﷺ ne hathi walon ki halakat ka aankhon dekha hal bayan kiya hai. Ye Qur’an ke mana aur mafhoom me wazeh tahreef hai.

➤ Imam Bukhari (rh), Sahih Bukhari H# 4700 se pahle likhte hain: “Alam tara (kya tumne nahin dekha) ka mana alam Ta’lam (kya tumne nahin jana) hain. Jaise Alam Tara Kaifa, Alam Tara Ilal Lazeena Kharzoo me hai.”
Lihaza is ayat mei bhi rooiyat ilmi murad hai.

❖ Ab zara is farman Bari Ta’la par bhi gaur kijiye.
اَوَ لَمۡ یَرَ الۡاِنۡسَانُ اَنَّا خَلَقۡنٰہُ مِنۡ نُّطۡفَۃٍ فَاِذَا ہُوَ خَصِیۡمٌ مُّبِیۡنٌ

“Kya insan janta nahin ki humne use ek nutfe (semen) se paida kiya hai aur ab wo khullam khulla jhagadta phir raha hai?” (Yaseen: 77)
kya koi is ayat me یَرَ ‘yar’ ka mana dekhna ka sakta hai? Yaqeenan yahan rooiyat ilmi murad hai.

❖ Ek aur ayat dekhiye;
اَلَمۡ یَرَوۡا کَمۡ اَہۡلَکۡنَا مِنۡ قَبۡلِہِمۡ مِّنۡ قَرۡنٍ

“Kya wo (kuffar) jante nahin ki humne unse pahle kitni qaumon ko halak kiya?” (Al An’am:6)

Kya is ayat me bhi rooiyat basari hi murad li jayegi? Koi hai, jo yahan bhi rooiyat basari murad lekar kuffar Makkah ke har jagah Hazir Nazir hone ka aqeeda pesh karega?

Is jaise aur bahut se ayat maujood hain, har ayat me rooiyat ilmi hi murad hai. Hamari appeal hai ki aap kitaab-o-sunnat ke khilaaf aur insani aqal se door, aqeeda hazir-o-nazir ko chhod kar sahi Islami aqeede ko ikhtiyar kar len taki Aimma Ahle Sunnat Ki mukhalifat lazim na aye

Allah Ta’la hume Haq ko samajhne aur isi par amal karne ki Taufeeq Ata farmaye. Ameen.

Ye Mazmoon Muhaddis Gulam Mustafa Zaheer Hafizullah Ke 2 Mazameen ka Mukhtasar andaz hai.

مسئلہ حاضر وناضر، غلام مصطفی ظہیر امن پوری حفظہ اللہ

http://mazameen.ahlesunnatpk.com/gum-paykya/

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button