Najd Kahan Hai? - Muttaqi
Islah
Trending

Najd Kahan Hai?

Humare yahan Najd se mutalliq ajeeb o gharib baaten sunai deti hain. Baaz log Najd-e-Iraq ke bare me marwi saheeh ahadees ki murad me fareb se kaam lete hue unhe Najd-e-Hijaz (Saudi Arab) par fit karne ki koshish karte hain.

Un saheeh ahadees ki haqeeqi murad kya hai? Fitno wala Najd kaun sa hai? Isme phootne wale fitne kaun se hain? In sabka jayza is mazmoon me ghair janibdari se liya jayega. In sha Allah.

Is tahqeeqi mazmoon sabse pahle Najd ke purfitn hone ke bare me saheeh ahadees zikr ki jayengi. Phir dusri saheeh ahadees he ke zariye in saheeh ahadees ki tafseer o tashreeh ki jayegi taki Najd ki nishandehi ki jaye. Aakhir me musallima fuqaha-e-kiram, ma’roof shareh-e-hadees aur namwar ahle-ilm ke aqwal ki roshni me is tahqeeq ki taeed pesh ki jayegi.

Dhyan rahe ki Najd kisi ek khas jagah ka nam nahin hai. Allama Zubaidi ne Tajul-Urus me aur Allama Yaqut Hamawi ne Mujam Al-Buldan me alag-alag Najd ke nam ginaye hain. Jaise; 1-Najd Yemen, 2- Najd Iraq, 3- Najd Hijaz, 4- Najd Khal, 5- Najd Al-Shari, 6- Najd Azaar, 7-Najd Al-Aqaab, 8- Najd Kabkab, 9- Najd Mari, 10- Najd Alwaz, 11- Najd Aja, 12- Najd Barqq waghairah.

Najd Ke Bare Me Saheeh Ahadees

Syedna Abdullah bin Umar (RA) bayan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Aye Allah! Humare liye humare Sham (Syria) ko ba-barkat bana de, aye Allah! Humare liye humare Yemen ko ba-barkat bana de. Sahaba Ikram ne arz kiya: Allah ke Rasool ﷺ! Aur humare Najd me? Farmaya: Aye Allah! Humare liye humare Sham aur Yemen me barkat de. Sahaba Ikram ne phir arz kiya: Allah ke Rasool ﷺ! Aur humare Najd me bhi? Mere khyal me teesri martaba Aap ﷺ ne farmaya: Wahan to zalzale aur fitne honge, shaitan ka seeng bhi waheen se niklega. (Musnad Ahmad: 2/118; Saheeh Bukhari H# 7094; Tirmizi H# 3953)

Syedna Abdullah bin Umar (RA) hi bayan karte hain:
Unhone Rasoolullah ﷺ ko suna, Aap ﷺ mashriq (East) ki taraf rukh kiye hue farma rahe the, “Aagah ho jao, fitna yaheen se roonuma hoga, yaheen se shaitan ka seeng tuloo hoga.” (Saheeh Bukhari H# 7093; Saheeh Muslim H# 2905)

Syedna Abdullah bin Umar (RA) hi bayan karte hain:
Rasoolullah ﷺ mimbar ki ek janib khade hue aur farmaya: Fitna yaheen se ubhrega, fitna yaheen se ubhrega aur yaheen se shaitan ka seeng tuloo hoga. (Saheeh Bukhari H# 7092; Saheeh Muslim H# 2905[47])

Saheeh Muslim ke alfaz hain:
Rasoolullah ﷺ ne mashriq ki taraf rukh kiye hue farmaya: Khabardar! Fitne yahan se roonuma honge aur shaitan ka seeng bhi yaheen se tuloo hoga.

Syedna Ibne Umar (RA) hi bayan karte hain:
Maine Rasoolullah ﷺ ko dekha, Aap ne mashriq ki taraf ishara karte hue farmaya. Yad rakho! Fitna yaheen se namudar hoga aur shaitan ka seeng bhi yaheen se tuloo hoga. (Muwatta Imam Malik: 2/975; Saheeh Bukhari H# 3279)

Syedna Abdullah bin Umar (RA) farmate hain:
Maine dekha ki Nabi e Akram ﷺ ne mashriq ki taraf ishara kiya aur farmaya: Fitne yaheen se namudar honge aur yaheen se shaitan ka seeng tuloo hoga. (Musnad Ahmad: 2/111)

Syedna Abu Huraira (RA) bayan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Kufr ka mamba’ (choti, source) mashriq me hai. (Saheeh Bukhari H# 3301; Saheeh Muslim H# 52)

Saheeh Ahadees Ki Tafseer Saheeh Ahadees Se

Qareen-e-Ikram! aapne in 6 ahadees ka mutala kar liya. Ab inme najd-e-mashriq se kya murad hai? Hum ye murad bhi saheeh ahadees hi se wazeh karte hain:

Sayyidna Abdullah bin Umar (RA) bayan karte hain:
Maine Rasoolullah ﷺ ko dekha. Aap apne hath mubarak ke sath Iraq ki taraf ishara karte hue farma rahe the, Khabardar! Fitna yaheen se namudar hoga, khabardar! Fitna yaheen se namudar hoga, khabardar! Fitna yaheen se namudar hoga aur yaheen se shaitan ka seeng tuloo hoga. (Musnad Ahmad: 2/143 H# 6302)

Sayyidna Ibne Umar (RA) bayan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Ya Allah! Humare liye humare Madinah ko ba-barkat bana de. Humare liye humare Makkah ko ba-barkat bana de. Humare liye humare Sham ko ba-barkat bana de. Humare liye humare Yemen ko ba-barkat bana de. Humar Sa’ (taqreeban 2.099 kilo ka paimana) aur Mudd (taqreeban 524.88 gram ka paimana) me barkat de. Ek shakhs ne kaha: Allah ke Rasool ﷺ! Humare Iraq ke bare me bhi dua farmaiye, Aap ﷺ ne uski taraf dhyan na dete hue farmaya: Wahan to zalzale aur fitne barpa honge, waheen par shaitan ka seeng tuloo hoga. (Musnad-ash-Shamiyyeen-lit-Tabarani H# 1276; Al Marafah wat Tareekh lil Faswi: 2/747-748; Al Mukhallasiyat: 2/196 H# 1341; Hilyatul Auliya: 6/133; Tareekh Ibne Asakir: 1/131)

Sayyidna Abdullah bin Umar (RA) bayan karte hain ke Rasool-e-Kareem ﷺ ne farmaya:
Aye Allah! Humare liye humare Sa’ aur Mudd me barkat de. Aap ﷺ ye bat teen martaba farmayi. Ek shakhs ne kaha: Humare Iraq ke liye bhi dua farmaiye. Aap ﷺ ne farmaya: Wo to zalzalon aur fitnon ki sarzameen hai aur waheen se shaitan ka seeng tuloo hoga. (Mojamul-Kabeer Tabrani: 12/384 H# 13422; Al Ma’rifa wat Tareekh lil Faswi: V2 P747; Musnad-al-Bazzar H# 5881; Hilyatul Auliya: 6/133)

Sayyidna Abdullah bin Umar (RA) bayan karte hain:
Nabi-e-Kareem ﷺ ne fajr ki namaz ada karne ke bad logon ki taraf rukh-e-mubarak kiya aur farmaya: Aye Allah! Humare liye humare Madinah ko ba-barkat bana de. Humare Mudd aur Sa’ me barkat de, humare Sham aur Yemen ko ba-barkat bana. Ek admi ne kaha: Allah ke Rasool ﷺ! Iraq ke liye bhi dua kijiye. Aap ﷺ khumosh ho gaye. Phir farmaya: Allah! Humare liye humare Madinah ko ba-barkat bana de, humare Mudd aur Sa’ me barkat de. Aye Allah! Humare Haram ko barkat wala bana aur Sham aur Yemen ko bhi ba-barkat bana. Admi ne phir kaha: Allah ke Rasool ﷺ! Iraq ke liye bhi dua keejiye. Aap ﷺ ne farmaya: Wahan se to shaitan ka seeng tuloo hoga aur fitne roonuma honge. (Mojamul-Kabeer Tabarani H# 4098; Fazail ush Sham-o-Dimashq li Abil Hasan ar Rubai: 11/20; Tareekh-ur-Raqqa li Abi Ali-al-Qushairi: Pg 95 H# 145; Tareekh Ibne Asakir: 1/132)

Sayyidna Abdullah bin Umar (RA) bayan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Aye Allah! Humare Sham ko ba-barkat bana de, Allah! Humare Yemen ko ba-barkat bana de. Aap ﷺ ne ye bat teen martaba farmayi. Jab teesri ya chauthi martaba hui, to logon ne kaha: Allah ke Rasool ﷺ! Humare Iraq ke liye bhi dua farmaiye. Farmaya: Iraq to zalzaon aur fitnon ki sarzameen hai, yaheen par shaitan ka seeng tuloo hoga. (Mojamul-Kabeer Tabarani: 12/293; Musnad-al-Bazzar H# 5880)

Sayyidna Abdullah bin Umar (RA) bayan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Allah! Humare Sham aur Yemen me khair-o-barkat farma. Ye dua Aap ﷺ ne 2 martaba farmai. Ek shakhs ne arz kiya: Allah ke Rasool ﷺ! Humare mashriq ke bare me bhi dua farmaiye. Aap ﷺ ne farmaya: Waheen se shaitan ka seeng tuloo hoga aur duniya ka 90 feesad sadd-e-shar waheen par hai. (Musnad Ahmad: 2/90)

Nafe (rh) bayan karte hain ke Syedna Abdullah bin Umar (RA) ne youn dua farmayi:
Aye Allah! Humare Sham aur Yemen me barkat farma. Kuch logon ne kaha: Humare Najd ke bare me bhi dua farmaiye. Unhon ne farmaya: Aye Allah! Humare Sham aur Yemen me barkat farma. Logon ne phir kaha: Humare Najd ke bare me bhi dua farmaiye. Unhone farmaya: Wahan to zalzale aur fitne honge aur waheen par shaitan ka seeng tuloo hoga. (Saheeh Bukhari H# 1037)

Saheeh Bukhari ki ek hadees hum pahle zikr kar chuke hain ke us me Syedna Abdullah bin Umar (RA) ye alfaz Nabi e Akram ﷺ se naql farmate hain. Is riwayat me agarche Nabi e Akram ﷺ ka zikr nahi, lekin ye bhi hukman marfoo (Nabi ﷺ ka farman) hai.

Hafiz Ibne Hajar (rh) (852h) farmate hain:
Jo riwayat humare pas Syedna Abdullah bin Umar (RA) par mauqoof soorat me pahunchi hain, unme isi tarah hai ke unhone khud ye dua ki hai, usme Nabi e Akram ﷺ ka zikr nahi kiya. Qabsi kahte hain ke Nabi e Akram ﷺ ka zikr Saheeh Bukhari ke nuskhe se gir gaya hai. Yahan Nabi e Akram ﷺ ka zikr zaroori hai, kyonke aisi bat koi sahabi apne qiyas se nahi kah sakta. (Fathul Bari: 2/522)

Syedna Abdullah bin Umar (RA) ke bete Salim (rh) ne Iraq walon ko mukhatib karke farmaya:
Iraq ke bashindo! Tajjub hai ke ek taraf tum chhote-chhote masaail bahot poochhte ho aur doosri taraf kabira gunahon ke irtikab me itne diler ho! Maine apne walid Syedna Abdullah bin Umar (RA) ko ye bayan karte hue suna hai ke unhon ne Rasoolullah ﷺ ko farmate hue suna: Fitna yahan se ayega aur yaheen se shaitan ke seeng tuloo honge. Sath hi Aap ﷺ ne apne hath-e-mubarak ke sath mashriq ki taraf ishara farmaya. (Saheeh Muslim: 2905[50])

Syedna Abdullah bin Umar (RA) ka bayan hai:
Rasoolullah ﷺ Syeda Ayesha (RA) ke ghar se nikle, to farmaya: Mashriq kufr ka sar-chashma hai, waheen se shaitan ka seeng tuloo hoga. (Saheeh Muslim H# 2905[48])

Badri Sahabi Syedna Abu Masood (RA) bayan karte hain ki Rasoolullah ﷺ ne mashriq ki taraf ishara karte hue farmaya: Fitne mashriq hi ki taraf se ayenge. (Saheeh Bukhari H# 3498)

Saheeh Ahadees Ki Tafseer Ahle Ilm Se

Lughwi taur par “najd” buland ilaqe ko kahte hain. Is lihaz se duniya me bahut sare najd hain, lekin mazkoora ahadees me “najd” ki tashreeh “mashriq” aur “iraq” se hui hai. Sabit hua ke jo najd fitnon ka markaz hai aur wahan se shaitan ka seeng namudar hoga, wo (Madinah se) mashriq ki taraf hai aur usse murad Iraq hi hai. Saheeh Ahadees-e-nabawiya pukar-pukar kar yahi bata rahi hain. Sahaba-o-Tabi’een ki bhi yahi raay hai.

Mashoor Lughwi Ibne Manzoor Afriqi (rh) (711h) farmate hain: “Tihama ki hudood se lekar Iraq tak jo buland jagah hai, wo najd hai”. (Lisan-ul-Arab: 3/413)

Mashoor Lughwi Allama Ibne Aseer (rh) (606h) farmate hain: “Najd buland zameen ko kahte hain, ye hijaz ke bahar Iraq se mile hue ilaqe ka khas nam hai”. (An Nihaya Fee Ghareeb-ul-Hadees: 5/19)

Hafiz Khattabi (rh) (388h) farmate hain: “Madinah walon ka najd, Iraq aur uska nawahi (shahar ke aas-pas ki abadi wala) ilaqa hai. Ye Madinah walon ke mashriq me waqe hai. Najd ke asl maane buland zameen hai. Nashebi ilaqe ko ghaur (غَور) kahte hain. Tihama ka sara ilaqa ghaur hai, Makkah bhi usi ghaur me waqe hai. Aksar riwayat ke mutabiq fitne ka zuhoor mashriq se hoga, usi janib se Yajooj-Majooj niklenge aur yaheen se Dajjal roonuma hoga”. (Elam-ul-Hadees: 2/1274)

Hafiz Ibne Abdul Bar (rh) (463h) farmate hain: “Wallahu Alam! Rasool-e-Akram ﷺ ka fitnon ke hawale se ishara mashriq ki taraf is liye tha ke sabse bada fitna jo Ummat me phoot aur tafarqa ka sabab bana, wo Syedna Usman bin Affan (RA) ki shahadat thi. Yahi waqya jung-e-Jamal aur jung-e-siffeen ka sabab bana. Ye sare muamalat mashriq ki janib se roonuma hue. Phir khawarij ka zuhoor bhi najd ki zameen, yane Iraq aur uske nawahi ilaqon me hua”. (Al Istizkar: 8/519)

Allama Ibne Battal (rh) (449h) farmate hain: “Haiwan ke seeng ki misal qabeeh (Bure, na‐zeba) kaamon me di jati hai, jaisa ke mashriq ki janib se fitnon ke roonuma hone ke bare me Nabi-e-Kareem ﷺ ka famran hai: “Isi taraf se shaitan ka seeng tuloo hoga”. Isi tarah Aap ﷺ ne sooraj ke bare me farmaya: “Wo shaitan ke 2 seengon ke darmiyan tuloo hota hai”.

…Allah Ta’ala ne Aap ﷺ ko khabar de di thi ke fitna usi taraf se uthega. Bilkul aise hi hua ke sabse bada fitna jo iftiraq-e-ummat ka bais bana, wo Syedna Usman (RA) ki shahadat wala waqya tha. Yahi waqya bad me jung-e-Jamal aur Siffeen ka sabab bana. Phir khawarij ka zuhoor bhi najd-e-iraq aur uske nawahi ilaqon me hua. Ye sare ilaqe mashriq me hain.

Sabko ye bhi maloom hai ke bidat ka aghaz bhi mashriq se hua. Jung-e-Jamal aur Siffeen me jin logon ne shirkat ki thi, unki badi tadad Mulk Sham aur hijaz se thi, lihaza ye fitna bhi mashriq hi me roonuma hua.
Ye saniha qiyamat tak musalmano ke iftiraq aur unke ek bade giroh ke nifaq ka bais ban gaye. Allah ke Rasool ﷺ ne is fasad ke wuqoo se pahle hi is bare me agahi dekar usse khabardar kar dya. Ye bat Nabi e Akram ﷺ ki nubuwwat ki bahut badi nishani hai”. (Sharah Saheeh Bukhari: 10/44)

Hafiz Ibnul Jauzi (rh) (597h) farmate hain: “Mashriq ke sath fitnon ko khas karne ki wajah ye hai ke dajjal aur Yajooj Majooj ka zuhoor isi taraf se hoga. Rahi bat shaitan ke seeng ki to ye bataur-e-misal hai, goya ke shaitan fitnon ki soorat me us simt se apna sar uthayega”. (Kashf-ul-Mushkil Ala-as-Saheehain: 2/493)

Allama Kirmani (rh) “najd” aur “ghaur” ke maane wazeh karte hue farmate hain: “Madinah Taiyyaba ke basiyon ka Najd Iraq aur uska nawahi ilaqa hai. Yahi ahle Madinah ke mashriq me waqe hai. Iraq me zalzalon aur fasadat se murad shayad wo jungen hain jo logon ke darmiyan hui. Yahi bat fitnon ke hasb-e-hal hai.
Ye bhi ho sakta hai ke haqiqi zalzale murad hon, ek qaul ye hai ke ahle mashriq us waqt kafir the, Nabi e Akram ﷺ ne bata diya ke fitne usi taraf se khade honge. Phir aisa hi hua ke jung-e-Jamal aur Siffeen aur Khawarij ke zuhoor wale waqyat najd-o-iraq aur uske nawahi ilaqe ke logon ke sabab hi pesh aye.
Ye tamam mashriqi ilaqe hain, isi tarah Dajjal aur Yajooj-o-Majooj ka zuhoor bhi usi ilaqe se hoga. Is hadees me mazkoor seeng ke bare me ek qaul ye hai ke janwar ka seeng bataur-e-misal qabeeh umoor ke liye istemal hua hai”. (Sharah-al-Kirmani lil Bukhari: 24/168)

Allama Aini Hanafi (rh) (855h) Imam Bukhari (rh) ki tabweeb (Baab/chapter banana) “بَابُ قَوْلِ الْنَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَمَ: الْفِتْنَةُ مِنْ قِبَلِ الْمَشْرِقِ” ke tahat likhte hain: “Is hadees ki Imam Bukhari (rh) ki tabweeb se mutabiqat is tarah hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ ne farmaya: Wahan zalzale aur fitne honge aur waheen se shaitan ka seeng tuloo hoga. Aap ﷺ ne wahan kah kar najd ki taraf ishara farmaya aur najd mashriq hi me waqe hai. Fitnon ka aghaz mashriq hi se hota hai. Usi taraf se Yajooj-o-Majooj aur Dajjal ka zuhoor hoga. Ka’b (rh) kahte hain: Mashriq me halak karne wali bimari hogi aur wo bimari deen se bezari hai. Muhallab (rh) kahte hain Nabi-e-Kareem ﷺ ne ahle mashriq ke liye dua is liye nahi ki, ke wo us shar se baz aa jayen jo shaitan ke fitnon ki soorat me unki simt me maujood hai”. (Umdatul Qari: 24/200)

Neez wo ye bhi farmate hain: “Nabi-e-Kareem ﷺ ne mashriq ki taraf ishara is liye farmaya ke ahle mashriq us daur me kafir the. Aap ﷺ ne bata diya ke fitne us taraf se sar uthayenge. Bilkul aise hi hua. Jung-e-Jamal-o-Siffeen aur Khawarij ka zuhoor najd-o-iraq aur uske nawahi ilaqon hi me hua tha. Syedna Usman (RA) ki shahadat ki soorat me sabse bada fitna jo iftiraq-e-ummat ka sabab bana, wo bhi usi simt se aya tha. Nabi-e-Kareem ﷺ un fitnon ke waqe hone se qabl hi us simt se khabardar aur mutanabba farmate the, ye Aap ﷺ ki nubuwwat ki ek bahut badi nishani thi”. (Umdatul Qari: 24/199)

Hafiz Ibne Hajar (rh) (852h) farmate hain: “Allama Khattabi (rh) ke alawa doosre ahle ilm kahte hain ke ahle mashriq us daur me kafir the. Nabi-e-Kareem ﷺ ne khabar dedi ke fitne usi simt se paida honge. Aap ﷺ ki khabar ke ain mutabiq sabse pahla fitna jo musalmano me daimi ikhtilaf-o-iftiraq ka bais bana, wo mashriq hi se namudar hua. Ikhtilaf ko shaitan pasand karta hai aur us par bahut khush hota hai. Isi tarah bidat ne bhi isi ilaqe me parwarish pai”. (Fathul Bari: 13/47)
Tamam gumrah aur zalim firqe, masalan Rafzi, Jahmi, Qadariya, waghaira mashriq ki paidawar hain. Abhi tak ye silsila jari hai. Fitna-e-dajjal bhi yaheen se zahir hoga.

Allama Mulla Ali Qari Hanafi (rh) (1014h) farmate hain: “Allama Suyooti (rh) ne zikr kiya hai ke kufr ke sar se murad kufr ka bada hissa hai. Zyada behtar ye maane hai ke kufr ka sar-chashma mashriq ki taraf hai”. (Mirqat-ul-Mafateeh: 9/4039)
Iske sath he farmate hain: “Hafiz Nawawi (rh) farmate hain ke fitnon ko mashriq ke sath khas karne ki wajah ye hai ke ahle mashriq par shaitan ka ghalba ziyada hai. Nabi e Akram ﷺ ke daur me bhi aisa tha aur dajjal bhi mashriq hi se namudar hoga. Youn mashriq bade-bade fitnon ka mamba’ aur kufr ka sar-chashma hai”. (Mirqat-ul-Mafateeh: 9/4037)

Allama Muhummad Abdur Rahman Mubarakpuri (rh) (1353h) farmate hain: “Allama Suyooti (rh) ke baqaul shaitan ke seeng se murad uska giroh, uske hum-asr aur uske madadgaar hain. Ek qaul ye hai ke seeng se murad shaitan ki quwwat aur uske gumrahkun harbe hain”. (Tohfatul Ahwazi: 4/381)

Faaida

❖ Rasoolullah ﷺ ne Madinah ke ek teele par khade ho kar farmaya:
Jo main dekh raha hoon, kya apko nazar araha hai? Sahaba ne arz kiya: Nahi, Allah ke Rasool ﷺ!. Farmaya: Bila-shubha main fitnon ko tumhare gharon me barish ki tarah dakhil hote dekh raha hoon. (Saheeh Bukhari H# 7060; Saheeh Muslim H# 2885)

Is hadees aur mazkoora-bala ahadees ke darmiyan jama-o-tatbeeq karte hue Hafiz Ibne Hajar (rh) (852h) farmate hain:
“Is bare me Madinah Munawwara ka khas zikr is liye kiye gaya hai ke Sayyidna Usman (RA) ki shahadat yaheen hui thi. Iske bad tamam ilaqon me fitne phail gaye. Jung-e-Jamal aur Siffeen Syedna Usman (RA) ki shahadat hi ka natija theen, jabke (khawarij ke khilaf) jung-e-Naharwan ka sabab jung-e-Siffeen me tahkeem wala muamal bana. Us daur me jo bhi ladai hui, bila-wasta ya bil-wasta uska talluq shahadat-e-Usman (RA) se tha. Phir Syedna Usman (RA) ki shahadat ka sabse bada sabab Aap ﷺ ke governeron par taan aur khud Aap (RA) par un governeron ki taqarrari ke hawale se ki jane wali tashnee’ thi. Is mamala ka aghaz Iraq hi se hua tha. Iraq (Madinah se) mashriq ki taraf hai. Youn is hadees aur ane wali hadees me koi tarruz nahi ke fitnon ki sarzameen mashriq (Iraq) hi hai”. (Fathul Bari: 13/13)

Khulasa

Ahadees-e-Nabawiya me mazkoor fitnon ki amajgah najd se murad Iraq hai. Nabi e Akram ﷺ ki saheeh ahadees me wazeh taur par Iraq ka nam maujood hai. Ulama-e-Ikram aur Fuqaha-e-Azzam ki tasrihat bhi Yahi hain. Haq wohi hai jo saheeh ahadees se sabit ho jaye.

Dua hai ke Allah Ta’ala haq ko samajhne aur use qubool karne ki taufeeq ata farmaye.

Jazakallah khair.

Is mazmoon ka kafi hissa bada Muhaddis Ghulam Mustafa Zaheer (hz) ki Kitab, ‘Meezanul Etiqad’ ke mazmoon Hadees-e-Najd (pgs 338-359) se liya gaya hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button