Namaz Janaza (Tariqa aur Masaail)
بسم الله والحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله
इस मज़मून को हिंदी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें.
Ek Musalman ki zindagi se judi akhiri namaz jo wo khud nahin balki uske dost aur rishtedar padhte hain, wo hai Namaze Janaza. Ye namaz aam taur par ek admi sal me 3,4 bar hi padh pata hai isliye iska tareeqa aur isse jude dusre masaail zehan se nikal jate hain. Isi kami ko pura karne ke liye hum ye mazmoon le kar aaye hain. Aaiye dekhe ki Ahle Sunnat wal Jama’at ki taaleemat ke mutabiq Namaze Janaza ka tareeqa aur isse mutalliq dusre masaail kya hain. InshaAllah.
Namaz Janaza Ki Fazeelat
❖ Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “iman ki halat me sawab ki niyat se jo kisi Musalman ke janaze ke sath jata, uske sath rehta, uska janaza padhta aur usko dafn karke farigh hota hai to uske liye do Qiraat sawab hai. Har Qiraat Uhud pahad ke barabar hai aur jo (sirf) namaze janaza padhkar wapas aa jata hai to uske liye ek Qiraat hai.” (Bukhari H# 47)
❖ Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Jis Musalman ke janaze me aise 40 admi shamil hain jo Allah ke sath shirk nahin karte hain to Allah Ta’ala us (mayyat ke haq) me unki sifarish qubool karta hai.” (Muslim H# 2199)
❖ Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Char Musalman jis Musalman ki tareef kare aur achchi gawahi de, Allah usko Jannat me dakhil karega.” Humne arz kiya “Aur teen?” Aap ﷺ ne farmaya “Teen bhi.” Humne arz kiya “Aur do?” Aap ﷺ ne farmaya “Do bhi.” Phir humne ek ke bare me nahin pucha.” (Bukhari H# 1368)
Yahan musalman ki gawahi se murad wo musalman hain jinka aqeeda, amal, akhlaq, aur kirdar, kitab aur sunnat ke mutabiq hai. Wallahu A’lam.
Namaze Janaza Ka Tarika
⚫ Namaze janaza padhne ke liye mayyat ki charpai is tarah rakhe ki mayyat ka sir shamaal (uttar, north) ki taraf aur paanv junub (dakshin, south) ki taraf ho. Ba wuzu hokar safen bandhe.
⚫ Agar janaza mard ka hai to imam uske sir ke barabar aur agar aurat ka hai to uske darmiyan (kamar ke barabar) khada hoga. (Bukhari H# 1331, Abu Dawood H# 3194)
⚫ Namaze janaza me sirf qiyam hai, rukoo aur sajda nahin hain. Isme aam taur par 4 takbeerat (Allahu Akbar) kahi jayengi. (Bukhari H# 1333, Muslim H# 905)
Sayyidna Zaid bin Arqam (RA) namaze janaza me 4 takbeerat kahate the. Ek janaza me unhonne 5 takbeerat kahi aur farmaya ki Rasoolullah ﷺ is tarah bhi karte the (Muslim H# 957).
Isse pata chala ki namaze janaza 5 takbeerat se bhi padhi ja sakti hai.
⚫ Pahli takbeer (Allahu Akbar) kahte hue rafa yadain kare (yani dono hathon ko kandho ya kaano tak uthaen) aur apna daaya hath apni baayi zira’a (hath ki ungli se kohni tak ka hissa) par rakhe. Iske bad auzubillah… aur bismillah… padh kar Surah Fatiha padh kar koi bhi surah padhe. (Bukhari H# 1335, Abu Dawood H# 3194)
⚫ Phir doosri takbeer kahte hue rafa yadain kare aur durood shareef padhe.
⚫ Phir teesri takbeer kahte hue rafa yadain kare aur mayyat ke liye dua kare. Nabi ﷺ ne farmaya “Jab tum namaze janaza padho to mayyat ke liye khalis taur par dua karo.” (Abu Dawood H# 3201, Ibn Maja H# 1497) Mustahab yah hai ki unhi alfaz me dua ki jaye jo Nabi ﷺ se sabit hai.
⚫ Phir chauthi takbeer kah kar sirf dahini taraf salam pher de. Abu Huraira (RA) farmate hain ki beshak Nabi ﷺ ne ek mayyat ki namaze janaza padhai. Is par char takbeere kahi aur ek hi salam phera (Musannaf Abdur Razzaq 3/489, H# 6428, Musannaf Ibn Abi Shaiba H# 11491).
Iske alawa sahaba kiram (RA) aur tabi’een se bhi namaze janaza me ek salam hi sabit hai. Jabki iske khilaf Nabi ﷺ aur sahaba me kisi se bhi dono taraf salam pherna sahih sanad se sabit nahin hai.
Namaze Janaza Ki Dua
Namaze janaza ki sabse mashhoor dua ye hai.
Sayyidna Abu Hurairah (RA) se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne ek janaza par yah dua padhi.
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِحَيِّنَا وَمَيِّتِنَا وَصَغِيرِنَا وَكَبِيرِنَا وَذَكَرِنَا وَأُنْثَانَا وَشَاهِدِنَا وَغَائِبِنَا اللَّهُمَّ مَنْ أَحْيَيْتَهُ مِنَّا فَأَحْيِهِ عَلَى الإِيمَانِ وَمَنْ تَوَفَّيْتَهُ مِنَّا فَتَوَفَّهُ عَلَى الإِسْلاَمِ اللَّهُمَّ لاَ تَحْرِمْنَا أَجْرَهُ وَلاَ تُضِلَّنَا بَعْدَهُ ”
(Allahummaghfir li hayyina wa mayyitina wa saghirina wa kabirina wa dhakarina wa unthanawa wa shahidina wa gha’ibina. Allahumma man ahhyaitahu minna fa ahyihi ‘alal iman wa man tawaffaitahu minna fa tawaffahu ‘alal islam. Allahumma la tahrimna ajrahu wa la tuzillana ba’dahu.)
Tarjuma: “Aye Allah! humare zinda aur murde ko, chhote aur bade ko, mard aur aurat ko, hazir aur ghaib ko bakhsh de. Aye Allah! hum me se jisko Tu zinda rakhe, use iman par zinda rakhe, aur hum me se jisko Tu wafat de, islam par de. Aye Allah! hume is (mayyat) ke ajr (sawab) se mahroom na rakhe aur uske bad hume gumrah na kar.” (Abu Dawood H# 3201, Imam Ibn Hibban (ra) ne sahih kaha)
➤ Iske alawa mayyat ke liye aur bhi kai duaen Nabi ﷺ se sabit hain jo Muslim H# 2232, Abu Dawood H# 3202, waghairah me maujood hain. Sayyidna Abdullah bin Salam (RA) ke qaul aur Tabi’een (rh) ke aqwaal se maloom hota hai ki ek hi mayyat par kai duaen padhi ja sakti hain. (Musannaf Ibn Abi Shaibah H# 11370, 11371)
Namaze Janaza Ke Masaail
⚫ Namaze janaza ke liye na azan hogi aur na iqamat aur na hi sajda sahw (bhool ka sajda) kiya jayega.
⚫ Namaze janaza me dheemi aur buland awaz dono tarah se qirat karna durust hai.
⚫ Sayyadna Abu Umama Bin Sahl (RA) se riwayat hai ki namaze janaza me sunnat tariqa ye hai ki imam pahli takbeer ke bad Surah Fatiha dheemi awaz se padhe, phir 3 takbeerat kahe aur akhiri takbeer ke sath salam phere. (Nasaai H# 1991)
⚫ Talha Bin Abdullah kahte hain ki maine Sayyadna Ibn Abbas (RA) ke peeche namaze janaza padhi. Unhone Surah Fatiha aur ek surat padhi aur buland awaz se qirat ki, yahan tak ki humne suna. Jab farigh hue to farmaya, “Yah sunnat aur haq hai.” (Nasaai H# 1989)
⚫ Namaze janaza ki takbeerat me rafa yadain karna chahiye. Sayyidna Ibn Umar (RA) se riwayat hai ki Nabi Akram ﷺ jab namaze janaza padhte to har takbeer ke sath rafa yadain karte aur jab namaz khatm karte to salam kahte the. (Sunan DarQutni H# 2908)
⚫ Namaze janaza me bhi Surah Fatiha zaroori hai. Sayyadna Talha Bin Ubaidullah Bin Auf (RA) kahte hain. Ki “Maine Ibn Abbas (RA) ke pichhe namaz padhi to unhone Surah Fatiha padhi aur farmaya, ‘Maine ye isliye kiya hai ki tum jan lo ki ye sunnat hai.'”(Bukhari H# 1335)
⚫ Kya ghaibana namaze janaza jayaz hai? Yani agar mayyat samne maujood na ho to bhi namaze janaza padhi ja sakti hai. Rasoolullah ﷺ ko jab Shah-e-Habsha (Ethiopia ke raja) Najjashi ki maut ki khabar mili to Aap ﷺ ne Sahaba ke sath janaze ki namaz padhai. (Bukhari H# 3877, 3878, Muslim H# 2204)
⚫ Kya masjid me namaze janaza padhi ja sakti hai? Jab Sayyadna Saad Bin Abi Waqqas (RA) ka intiqal hua to Ummul Momineen Aisha (RA) ne farmaya ki unka janaza masjid me lao taki main bhi namaze janaza me shareek ho jaun. Logon ne nagawari mahsoos ki to Aisha (RA) ne farmaya ki log kitni jaldi bhool jate hain. Rasoolullah ﷺ ne Sahal (RA) aur unke bhai ki namaze janaza masjid me padhai thi. (Muslim H# 2252)
Sayyidna Siddiq-e-Akbar (RA) ki namaz bhi masjid me padhi gayi. Sayyidna Farooq-e-Azam (RA) ki namaze janaza, Sayyidna Suhail (RA) ne masjid me hi padhai thi. (Sunan Baihaqi 4/52)
⚫ Kya aurate bhi namaze janaza me shamil ho sakti hain? Upar wali hadees (Muslim H# 2252) se ye bhi maloom hua ki aurton ke liye namaze janaza me shareek hona jayaz hai.
⚫ Kya murda paida hone wale bachche ka janaza padha jayega? Sayyadna Mugirah Bin Shoaba (RA) se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya, “Bachcha murda paida ho to uski namaze janaza ada ki jaegi aur usme uske walidain ke liye maghfirat aur rahmat ki dua ki jayegi.” (Abu Dawood H# 3180)
⚫ Kya dafnane ke bad bhi namaze janaza padhi ja sakti hai? Ek sahabi ka intiqal rat me hua to logon ne dafna diya aur rat ki wajah se Rasoolullah ﷺ ko ittela nahin di. Subah jab Aap ﷺ ko ye bat pata chali to Aap ﷺ un sahabi ki qabr par gaye aur namaze padhi. (Bukhari H# 1247, 1321)
⚫ Rasoolullah ﷺ ne khudkushi (suicide) karne wale ki namaze janaza nahin padhi. (Muslim H# 2262)
⚫ Isi tarah Nabi ﷺ ne qarzdar ki namaze janaza nahin padhi. (Bukhari H# 2289)
⚫ Kabeera gunah karne wale shakhs ki namaze janaza
Saudi Arabia ke mashhoor alim Sheikh Ibn Baz (rh) farmate hain ki khudkushi karne wale ko ghusl diya jayega. Uska janaza bhi padha jaega. Use musalmano ke sath hi dafn kiya jayega. Isliye ki wo gunahgar hai, kafir nahi. Khudkushi gunah hai kufr nahi. Lekin bade alim deen aur aise log, jinki khas ahmiyat ho, unko chahiye ki uski namaze janaza na padhe taki yah guman na ho ki wo uske amal se razi hain. (Fatawa Islamiyah No. 99)
Albatta koi gunahgar tauba kar le ya us par duniya mein hi had (sharai saza) jari ho jaye to bade alim ko uska namaze janaza padhna chahiye.
Ek Sahabi ne Rasoolullah ﷺ ke samne zina ka gunah qubool kiya to Aap ﷺ ne un par hadd (sharai saza) jari ki. Phir unka namaze janaza padha aur unko dafn kiya gaya. (Muslim H# 1695)
Mayyat Se mutalliq wo Kaam jo sunnat se sabit nahin
❂ Marne wale ke sir ke qareeb Quran Majeed rakhna.
❂ Marne wale ke pas Surah Yaseen padhna.
❂ Marne wale ka munh qibla ki taraf karna.
❂ Marne wale ke nakhun ya naf ke niche ke bal saf karna.
❂ Ye aqeeda rakhna ke Jumu’ah ke roz Marne wale ko ek ya do ghante ke bad kabhi azab nahin hoga.
❂ Marne wale ki charpai/bed ke aas paas baith kar zikr karna.
❂ Marne wale par Surah Fatiha padhna.
❂ Marne wale par na’at khwani karna aur uski paise wasool karna.
❂ Rahdari (mayyat uthane se pehle anaaj waghairah sath rakhna aur tadfeen ke bad gharibo me taqseem karna) ki rasm ada karna.
❂ Marne wale ke pas Surah Baqarah tilawat karna.
❂ Hila (mayyat uthate waqt mayyat par Quran Majeed rakhna aur rakhne se pehle us ke barabar ghalla ya paise Moulvi Sahib ko dena) ki rasm ada karna.
❂ Biwi ke wafat hone par shauhar ke liye biwi ko ghair mahram qarar dena.
Janaze Se mutalliq wo Kaam jo sunnat se sabit nahin
❂ Janaze par phool dalna ya koi doosri zeenat karna.
❂ Janaze ke oopar naqsh-o-nigar wali muzayyan chadar dalna.
❂ Hare (green) rang ki chadar par kalimah tayyibah ya doosri Qurani ayat likh kar Janaze par dalna.
❂ Ghar se Janaze nikalte waqt sadqah aur khairat ka ehtimam karna.
❂ Janaze ko nek logon ki qabron ka tawaf karwana.
❂ Yeh aqeeda rakhna ke nek aadmi ka janaza halka hota hai aur gunahgar ka janaza bhari hota hai.
❂ Janaze le jane se pehle Quran Majeed ke 2.5 paaron ki tilawat karna.
Umeed hai ki is mazmoon ke zariye namaze janaza ka tarika sahi tarika, namaze janaza ki dua aur usse jude kai masaail wazeh ho gaye honge.
Isse mutalliq koi sawal ho to niche comment box me poochh sakte hain.
JazakAllah khair.