Namaz ki Ahmiyat, Fazeelat Aur Benamazi
Namaz ki Ahmiyat
Namaz Ki Hifazat Allah Ka Hukm Hai
Allah ne farmaya: “Namaz ki hifazat karo, khas taur se darmiyan wali namaz ki aur Allah ke liye ba-adab khade raho.” (Surah Al-Baqarah: 238)
Jung Aur Safar Me Bhi Namaz Maf Nahi
Namaz ki ahmiyat ka andaza is bat se lagaya ja sakta hai ke Allah Ta’ala ne Mujahideen ko bhi namaz chhodne ki rukhsat nahi di, jaisa ke Allah Ta’ala ka farman hai:
“(Aye Nabi) Jab tum unme ho aur un ke liye namaz khadi kar do to chahiye ke unki ek jamat tumhare sath apne hathiyar liye khadi ho, phir jab ye sajda kar chuken to ye hat kar tumhare peechhe aa jayen aur wo doosri jamat jisne namaz nahi padhi wo aa jaye aur tumhare sath namaz aada kare aur apna bachao aur apne hathiyar liye rahe.” (Surah An-Nisa: 2)
Agar kisi ko namaz chodne ki ijazat hoti to Mujahideen ko zaroora hoti jo maut ki kashmakash men hote hain magar Allah ne unhen bhi namaz ka paband bana diya.
Deeni Bhai-Chara Namaz Se
Irshad Rabbani Hai: “So agar wo taubah kare, namaz qayam kare aur zakat ada kare to wo tumhare deeni bhai hain.” (Surah At-Taubah: 11)
7 Sal ke Bachche ko Namaz ka Hukm
Namaz ki ahmiyat ka andaza is bat se lagaya ja sakta hai ke Rasoolullah ﷺ ne 7 sal ke chhote se bachche ko namaz padhne ka hukm diya hai, taki jab wo shu’oori umar ko pahunche, tab tak wo namaz ka aadi ban chuka ho.
❖ Chunanche Rasoolullah ﷺ ka irshad hai: “Apni aulad ko namaz ka hukm do, jab wo 7 saal ke ho jayen. Aur jab wo 10 sal ke ho jayen, to unhen namaz chhodne par maro aur unke bistar juda kar do.” (Sunan Abu Dawood H# 494)
❖ Sayyidna Ibne Masood ppp farmate hain, maine Rasoolullah ﷺ sawal kiya ke: “Allah Ta’ala ko kaun sa amal zyada mahboob hai?” Aap ﷺ ne farmaya: “Waqt par namaz padhna”. Maine kaha: “Phir kaunsa?” Aap ﷺ farmaya: “Maa-Bap ke sath nek sulook karna”. Maine kaha: “Phir kaunsa?” Aap farmaya: “Allah ke raste me jihad karna”. (Bukhari H# 527)
❖ Rasoolullah ﷺ farmaya: “Sabse afzal amal, awwal waqt par namaz padhna hai”. (Ibne Khuzaima H# 327)
Namaz me Susti Munafiqon ka Amal
Allah Ta’ala ka irshad hai: “Beshak munafiqeen Allah Ta’ala ko dhoka dete hain aur wo (Allah) unse dhoka karta hai, aur jab wo namaz ke liye khade hote hain to badi susti ki halat me khade hote hain.” (Surah An-Nisa: 142)
Bande aur Kufr ke Darmiyan Farq Namaz se
Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya: “Bande aur shirk aur kufr ke darmiyan (fasla mitane wala amal) namaz ka chhorna hai.” (Sahih Muslim H# 246)
Roz-e-Qiyamat Sabse Pahla Sawal Namaz Ka
Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Beshak qiyamat ke din bande se sab se pahle jis cheez ka sawal kiya jayega wo namaz hai. Agar namaz durust hui to wo falah pa jayega aur kamran ho jayega, aur agar namaz kharab hui to wo na kaam aur na-murad ho jayega.” (Sunan Nasaai H# 465)
Namaz Se Munafiq Ka Peechhe Rehna
Sayyidna Abdullah bin Masood Razi Allah Anho se riwayat hai farmate hain: “Hum apne aap ko dekhte the, aur namaz se wahi shakhs peechhe rehta tha jiska nifaq wazeh hota, ya phir mareez, aur agar mareez bhi paidal chalne ki taqat rakhta hota to zaroor namaz ke liye a jata.” (Sahih Muslim H# 654)
Sahaba (RA) Namaz Ko Chhodna Kufr Samajhte
Abdullah bin Shaqiq (RA) se riwayat hai ke Sahaba (RA) a’mal me se kisi cheez ke chhod dene ko kufr nahi samajhte the, siwaye namaz ke. (Sunan Tirmizi H# 2622)
Namaz Late Hone Ki Wajah Se Rasoolullah ﷺ Ki Kuffar Ko Bad-dua
Sayyidna Ali (RA) farmate hain ki Jung Ahzab (Khandaq) ke mauqa par Rasoolullah ﷺ ne (mushrikeen ko) ye ba-ddua di ke: “Aye Allah! Unke gharo aur qabro ko aag se bhar de. Unhone humen Salatul-Wusṭa (Asr ki namaz) nahi padhne di (Ye Aap ﷺ ne us waqt farmaya) jab sooraj doob gaya tha aur Asr ki namaz qaza ho gayi thi.” (Sahih Bukhari H# 2931)
Namaz Ki Fazeelat
Namaz Ajr-e-Azeem Ka Zariya Hai
Irshad-e-Bari Ta’ala hai: “Lekin unme se jo kamil aur mazboot ilm wale hain aur iman wale hain, jo is par iman late hain jo Aap ki taraf utara gaya aur jo Aap se pahle utara gaya aur namazon ko qayam rakhne wale hain aur zakat ke ada karne wale hain aur Allah par aur qiyamat ke din par iman rakhne wale hain, ye hain jinhen hum bohot bade ajar ata farmaenge.” (Surah An-Nisa:162)
Namaz Ahl-e-Iman ka Wasf
Allah Ta’ala ka irshad hai: “Wo log jo namaz qayam karte hain aur jo hum ne unhen diya usme se kharch karte hain. Yahi log sachche momin hain, unke liye unke Rab ke pas bohot se darajat aur badi maghfirat aur ba-izzat rizq hai.” (Surah Al-Anfal: 2-3)
Neez Allah Ta’ala ne kamyab iman walon ka tazkira karte hue farmaya:
“Aur wo log jo apni namazon ki hifazat karte hain.” (Surah Al-mominoon: 9)
Tamam Amal Me Afzal Amal
Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya: “Tamam amal me sabse afzal amal namaz hai aur momin ke alawa koi aur shakhs wuzu ki pabandi nahi karta.” (Sunan Ibn Majah H# 277)
Namaz Deen ka Sutoon (Pillar)
Jis tarah ek building me sutoon ki haisiyat hoti hai, ke iske baghair building khadi nahi ho sakti, isi tarah deen me namaz ki ahmiyat hai.
Chunanche Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya: “Deen ki buniyad Islam hai aur iska sutoon namaz hai.” (Sunan Tirmizi H# 2616)
Namaz Islam Ka Rukn
Nabi Akram ﷺ ne irshad farmaya: “Islam ki buniyad 5 cheezon par hai: Is bat ki gawahi dena ke Allah ke alawa koi ibadat ke layaq nahi aur Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain, namaz qayam karna, zakat ada karna, hajj karna aur mah-e-Ramadan ke roze rakhna.” (Sahih Bukhari H# 8)
Namaz Be-Hayai Se Rokti Hai
Allah Ta’ala ka irshad hai: “(Aye Nabi ﷺ!) Aap wo kitab padh kar sunaiye jo Aap ki taraf (wahi ke zariye bheji gayi hai), namaz qayam kijiye, beshak namaz be-hayai aur burai se rokti hai.” (Surah Al-Ankaboot: 45)
Namaz Rasoolullah ﷺ Ki Aankhon Ki Thandak
Allah ke Habeeb ﷺ ka irshad hai: “Duniya se mujhe aurton aur khushboo se muhabbat ata ki gayi hai aur namaz meri ankhon ki thandak hai.” (Sunan Nasaai H# 3939)
Namaz Noor Hai
Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya: “Namaz noor hai.” (Sahih Muslim H# 223)
Namaz Jannat Ki Kunji (Key) Hai
Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya: “Namaz Jannat ki Kunjji hai.” (Sunan Tirmizi H# 4)
Namazon Ke Auqat Me Farishton Aate-Jate Rahte Hain
Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Tumhare pas farishte rat aur din ko bari-bari ate hain. Wo (ane aur jane wale farishte) Namaz-e-Fajr aur Namaz-e-Asr me jama hote hain. Jo Farishte rat ko tumhare pas rahe wo asman par jate hain to unka Rabb unse poochhta hai, halanki wo apne bandon ka hal khoob janta hai: “Tumne Mere Bandon Ko Kis Hal Me Chhoda?” Wo kehte hain: humne unhe is hal me chhoda ke wo namaz padh rahe the aur hum unke pas is hal me gaye ke wo namaz padh rahe the”. (Bukhari H# 555)
Namazi Ke Liye Roshni Ki Khushkhabri
Nabi ﷺ ne irshad farmaya: “Andhere me masajid ki taraf chal kar jane walon ko Qiyamat ke din kamil roshni ki khushkhabri de do.” (Sunan Abu Dawood H# 561)
Namazi Ke Tamam Gunah Maf
Rasoolullah ﷺ ka irshad hai: “Tumhara kya khayal hai ke agar tumme se kisi ke darwaze par nahar bahti ho aur wo is nahar me rozana 5 martaba nahaye to kya uske badan par koi mail kuchail baqi rahegi? Sahaba-e-Kiram (RA) ne arz kiya, nahi kisi qisam ki mail kuchail nahi rahegi. Aap ﷺ ne irshad farmaya: Yahi 5 namazon ki misal hai. Allah Ta’ala in namazon ke zariye gunah mita deta hai.” (Sahih Bukhari H# 528)
❖ Ek aur mauqe par Nabi ﷺ ne irshad farmaya: “5 namazen un gunahon ko mita deti hain jo un namazon ke darmiyan hote hain aur isi tarah ek jumua se doosre jumua tak ke gunahon ko mita deti hain, ba-shart ki wo Kabira Gunah se bachta rahe.” (Sunan Tirmizi H# 214)
❖ Sayedna Abu Zarr (RA) riwayat farmate hain: Ek martaba Rasoolullah ﷺ sardiyon ke mausam me bahar tashreef laye. Darakhton ke patte gir rahe the. Aap ﷺ ne ek darakht ki tahni ko pakda to iske patte girna shuru ho gaye. Aap ﷺ ne farmaya: “Muslim banda jab Allah ki raza ke liye namaz padhta hai to uske gunah aise jhadte hain jaise is darakht ke patte jhadte hain.” (Musnad Ahmad H# 21557)
Namazi Roz-e-Qayamat Shahidon Aur Siddiqeen Ke Sath Hoga
Sayedna Umar bin Murrah Juhni (RA) se riwayat hai ke: Ek admi Nabi ﷺ ki khidmat me hazir hua aur arz ki: “Ae Allah ke Rasool ﷺ! Bataiye agar main gawahi doon ke Allah ke alawa koi ma’bood barhaq nahi, aur Aap Allah ke Rasool hain, paanchon namazen ada karoon, Zakat ada karoon, Ramadan ke roza rakhoon aur Ramadan me qayam bhi karoon, to mera shumar kin logon me hoga?” Aap ﷺ ne irshad farmaya: “Siddiqeen aur shuhada me.” (Sahih Ibn Hibban H# 3438)
Sajde Wali Jagahon Par Jahannam Ki Aag Haram
Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya: “Jab Allah Ta’ala jahannam ke logon par apni rahmat ka irada karega, to farishton ko hukm dega ke jisne bhi (khalis) Allah ki ibadat ki hai, use jahannam se bahar nikal lo. To farishte unhen peshaniyon par sajdon ke nishan se pehchan kar bahar nikalenge, (kyunki Allah Ta’ala ne aag par sajde ke nishanon ko jalana haram qarar diya hai). To wo aag se nikal jayenge.” (Sahih Bukhari H# 806)
Namazi Ke Liye Roz-e-Qayamat Nematon Wale Baghat
Irshad-e-Bari Ta’ala hai: “Wo wahi log hain jo apne Rab ki raza mandi talash karne ke liye sabr karte hain, aur namazon ko qayam karte hain, aur jo kuch hum ne unhen diya hai use chhup kar aur zahir kar ke kharch karte hain, aur burayi ko bhi bhalayi se talte hain. Inhi ke liye akhirat ka ghar hai, hamesha rahne ke baghat hain jahan ye khud jayenge aur unke bap dada aur biwiyon aur aulad me se bhi nek log honge. Unke pas farishte har darwaze se ayenge aur kahenge: Tum par salamati ho. Sabr ke badle kya hi acha (badla) hai is akhirat ke ghar ka.” (Surah Ar-Ra’d: 22-24)
Rahmat-e-Ilahi Namazi Ki Taraf Mutawajje Hoti Hai
Aap ﷺ ne farmaya: “Jab tum me se koi admi namaz ke liye khada hota hai to rahmat-e-Ilahi uski taraf mutawajje ho jati hai”. (Abu Dawood H# 945)
Paanchon Namazon Ki Fazeelat
❖ Nabi ﷺ ne irshad farmaya: “Jisne subah ki namaz padh li wo Allah ke zimma aur panah me hai, Allah Ta’ala tum logon se apne zimma me se kisi cheez ka mutalba na kare. Agar usne apne zimma me se kisi cheez ka mutalba kiya, to wo use pa lega aur use chehre ke bal jahannum me dal dega.” (Sahih Muslim H# 657)
❖ Nabi Akram ﷺ ne farmaya: “Jis ne sooraj ke nikalne se pahle aur uske doobne se pahle, yani fajr aur asr ki namaz ada ki, wo hargiz aag me dakhil nahi hoga.” (Sahih Muslim H# 634)
❖ Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya: “Jis ne dono thande waqt (namaz fajr aur asr ki namaz) ada ki wo jannat me dakhil hoga.” (Sahih Bukhari H# 574)
❖ Aap ﷺ ka irshad hai: “Jis ne namaz-e-Isha ba-jama’at padhi, goya usne adhi rat qiyam kiya. Aur jisne namaz-e-Fajr ba-jama’at ada ki, goya usne poori rat namaz padhi (Yani namaz-e-Isha aur Fajr ba-jamat padhna, poori rat Qiyam karne jaisa hai).” (Sahih Muslim H# 656)
❖ Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya: “Munafiqeen par Fajr aur Isha ki namaz se zyada bhari koi namaz nahi. Aur agar unko in dono namazon ki fazeelat ka ilm ho jaye, to wo zarur hazir hon, khwah ghisat kar ana pade.” (Sahih Muslim H# 151)
Fajr aur Isha ki fazeelat ka zikr karte hue Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: “Jis shakhs ne thande waqt ki 2 namaze ada ki, wo jannat me dakhil hoga.” (Sahih Bukhari H# 548)
Be-Namazi Ka Anjam
Be-Namazi ka Thikana Jahannam Hai
Quran me Jannatiyon aur Jahannamiyon ke beech ke bat-cheet ka tazkirah milta hai. Jannati log Jahannamiyon se puchhenge: “Tumko kya chiz Jahannam me le gayi, wo Kahenge ki hum Namaziyon me se na the. (Surah Al-Muddassir: 42,43)
Be-Namazi ka Sir Patthar Se Kuchla Jayega
Aap ﷺ ne khwab bayan karte hue farmaya: “Jis ka sir patthar se kuchla ja raha tha wo Quran ka hafiz tha magar Quran se ghafil ho gaya aur farz namaz padhe baghair so jaya karta tha.” (Sahih Bukhari H# 1143)
Be-Namazi Roz-e-Qiyamat Fir’aun, Haman aur Qarun ke Sath Honge
Nabi ﷺ ne ek din namaz ka zikr karte hue farmaya: “Jis shakhs ne namaz ki hifazat ki, uske liye namaz qiyamat ke din noor, hujjat aur nijat ka zariya hogi. Aur jisne namaz ki hifazat nahi ki, uske liye na noor hoga, na hujjat, na nijat, aur wo qiyamat ke din Qarun, Haman, Fir’aun aur Ubai bin Khalaf ke sath hoga.” (Sahih Ibn Hibban H# 1467)
Namazon me Susti Karne Walon Ke Khilaf Nabi ﷺ Ka Irada
Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya: “Maine irada kiya ke muazzin ko hukm doon ke wo iqamat de, phir ek admi ko hukm doon ke wo logon ki imamat kare aur khud aag ka ek shola le kar un logon ke gharo ko aag laga doon jo is (azan sunne ke bad) namaz ke liye nahi nikalte.” (Sahih Bukhari H# 644)
Allah se dua hai ki Hum sabko Namaz ka paband banaye. Aameen.