Namaz Ki Niyat Kaise Ki Jaye?
بسم الله والحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله
इस मज़मून को हिंदी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें.
Amal ki buniyad niyat par hai. Lihaza namaz padhne ke liye bhi niyat zaroori hai. Hum me se aksar log namaz shuru karne se pahle zaban se niyat ke taur par kuch alfaz nikalte hai. Ye alfaz kuch log kam aur kuch log zyada nikalte hain. Ab sabse pahla sawal zehan me ye aata hai ki namaz ki niyat kaise ki jaye? Aaiye dekhte hain ki namaz se pehle niyat ke bare me Ahle Sunnat wal Jama’at ka nazariya kya hai?
Niyat karta/karti hun main 2/3/4 Rak’at namaz Farz/Sunnat/Nafl, waqt…. waaste Allah Ta’la ke, munh mera Ka’ba Shareef ki taraf, pichhe pesh imam ke….
Ye wo niyat hai jo kai musalman namaz shuru karne se pahle karte hain. Kuch log isme thodi kami ya zyadati bhi kar dete hain. Is tarah zaban se niyat karne ka koi suboot na to khud Rasoolullah ﷺ se hai aur na kisi Sahabi (RA) ya Tabi’ee se. Ye sach hai ki amal ki buniyad niyat hoti hai (Bukhari H# 1) lekin niyat dil ke irade ka nam hai, na ki zaban se dohrane ka.
(Namaz ka pura aur asan tariqa jaan ne ke liye yahan click kijiye.)
❖ Imam Ibne Taimiyyah (rh) ne kaha ‘‘Niyat dil ke irade ko kahte hain aur irade ka maqam dil hai, zaban nahin.’’ (Fatawa Kubra 1/1)
❖ Ibne Qayyim (rh) ne zaban se niyat karne ko Bid’at kaha. (Zad Ul Ma’ad 1/201)
❖ Imam Nawwi (rh) kahte hai ki ‘’niyat sirf dil ke irade ko kahte hai, zaban se niyat karna na to Rasoolullah ﷺ se sabit hai, na kisi Sahabi, Tabaee ya charon Imamon me kisi se.’’ (Sharah Al Mazhab 1/352)
❖ Mulla Ali Qari (rh) kahte hai ‘’Alfaz ke sath niyat karna jayaz nahi kyunki ye Bid’at hai.’’ (Mirqat 1/41)
❖ Ibne Hamam (rh) ne kaha “Rasoolullah ﷺ aur Sahabi me kisi ek se bhi zaban se niyat karna manqool nahi hai.” (Fathul Qadeer 1/232)
❖ Ibne Abideen Shami (rh) kahte hain ki zaban se niyat karna Bid’at hai. (Fatawa Shami 1/279)
In sab baaton ka khulasa ye hai ki namaz ke liye zaban se niyat na ki jaye. Ham bhi jante hain ki hum kaun si namaz padhne ja rahe hain aur wo kitni Rak’at hai, kis jagah, kis masjid waghairah. Balki jab hum wuzu ki tayyari karte hain tabhi humari niyat hoti hai ki ye wuzu fulan namaz ke liye hai aur Allah ko to humse zyada Ilm hai. Isliye zaban se kuch khas alfaz ada karna durust nahi hai aur common senss se bhi bahar hai.
Jazakallah Khair.