Sajda Sahw Ka Tarika - Muttaqi
Ibadat

Sajda Sahw Ka Tarika

इस मज़मून को हिंदी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें.

Sajda Sahw yani bhool ka sajda. Namazi se namaz me bhool-chook ho sakti hai. Allah Ta’ala ne namaz me kami aur zyadati ko poora karne ke liye 2 zyada sajdon ko jayaz qarar diya hai jis wajah se poori namaz dohrane ki zarurat nahin padti. Lekin iske zariye kuch khas kami-zyadati ko hi poora kiya ja sakta hai. Sajda karne se sari kamiyan poori nahin hoti aur har kami ke liye sajda sahw karne ki ijazat aur zarurat nahin hai.

Is mazmoon me hum Ahle Sunnat Wal Jama’at ke taleemat ke mutabiq Sajda sahw ka tariqa aur usse jude kuch masaail padhege.

Sayyidna Abu Hurairah (ra) se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Jab tum namaz padhte ho to Shaitan namaz me shak aur shubah dalta hai aur yad nahin rehta ki kitni rak’aten padhi. Agar aisa ho to baithe-baithe do sajde karo.” (Saheeh Bukhari H# 1232, Saheeh Muslim H# 389)

Sajda Sahw Ka Tarika Kya Hai?

Waise to Sajda Sahw ke 3 tariqe musalmano me mashhoor hain. Lekin inme se sirf 2 tariqe Allah ke Habib ﷺ se Saheeh sanad se sabit hain.

❖ Ek tariqa ye hai ki namazi akhiri rak’at me At-tahiyyat padhne ke bad sirf dahini taraf salam pher kar 2 sajde karega, phir dobara At-tahiyyat, durood sharif aur dusri duaen padh kar akhir me dono taraf salam pherega. Lekin ye tariqa Aaqa ﷺ se Saheeh sanad sabit nahi hai.

❖ Dusra tariqa ye hai ki namazi akhiri rak’at ke tashahhud me sari duaen padhne ke bad 2 sajde kare aur phir bina kuch padhe fauran salam pher de. Yani ye sajde salam se theek pahle honge. Ye tariqa Rasoolullah ﷺ se Saheeh sanad se sabit hai.

❖ Teesra tariqa ye hai ki akhiri rak’at ke tashahhud me sari duaen padhne ke bad dono taraf salam phere, uske bad 2 sajde karke phir dono taraf salam pher de. In dono tariqon me sajde aur salam ke beech me kuch bhi nahi padha jayega. Ye tariqa bhi Nabi ﷺ se Saheeh sanad se sabit hai.

Ye dono tariqe alag-alag tarah ki ghalatiyon ke liye kiye jayenge. Shaikh Salih al-Usaimeen (rh), Majmoo ul Fatawa Vol 14, pgs 14-16 me farmate hain ki aam taur par sajda sahw in 3 haalaat me kiya jayega:

1. Zyadati
2. Kami
3. Shak

Namaz Me Zyadati

Misal ke taur par admi namaz me ek ruku ka izafa kar de aur ek hi rak’at me do ruku kar le, ya sajde ka izafa kar de aur 2 ki jagah 3 sajde kar le, ya qiyam me zyadati kar de. Maslan 4 ki jagah 5 padh le aur bad me yad aa jaye.

Is zyadati ki soorat me sajda sahw salam ke bad hoga jaisa ki hadees me hai ki Nabi ﷺ ne Zuhr ki namaz me 5 rak’atain padh li. Phir jab logon ne salam ke bad yad dilaya to Aap ﷺ ne salam ke bad sajda sahw kiya. (Saheeh Bukhari H# 1226, Saheeh Muslim H# 91)

Yahan ye kaha ja sakta hai ki Nabi ﷺ ne is mauqe par salam ke bad Sajda Sahw isliye kiya ki aap ﷺ ko salam ke bad hi iska ilm ho saka, to hum kahenge ki agar hukm aapke amal se mukhtalif hota to aap ﷺ Sahaba se farmate ki jab tumhe salam se pahle hi zyadati ka ilm ho jaye to salam se pahle hi Sajda Sahw kar lo. Lekin jab aap ﷺ ne aisa kuch nahi farmaya to isse maloom hua ki zyadati ki soorat me Sajda Sahw salam ke bad karna hai.

Uski ek daleel ye bhi hai ki aapﷺ ne namaze Zuhr ya Asr me 2 rak’at padhi aur salam pher diya. Phir jab logon ne aapko yad dilaya to aap ﷺ ne namaz ko poora kiya aur salam phera, phir do sajde kiye aur dobara phir salam phera. (Saheeh Bukhari H# 482, 714, Saheeh Muslim H# 573, Abu Dawood H# 1008)

Chunki namaz ke beech me salam ek zyadati thi, isliye aap ﷺ ne salam ke bad Sajda Sahw kiya. Hadees ke alawa aql aur nazar ka bhi taqaza yahi hai ki is soorat me Sajda Sahw salam ke bad ho. Isliye ki agar namaz me zyadati ho jaye aur salam se pahle hi Sajda Sahw kiya jaye to phir namaz me 2 izafe ho jate hain. Lekin agar hum salam ke bad aisa karte hain to sirf ek izafa hota hai jo bhool se hua tha.

Namaz Me Kami

Maslan ek shakhs pahle tashahhud me baithe baghair uth jaye, ya sajde me Subhana Rabbiyal A’la…” ya rukoo me Subhana Rabbyial A’zeem…” kahna bhool jaye. Is soorat me salam se pahle Sajda Sahw karna chahiye. Isliye ki wajib chhootne ki wajah se namaz me abhi nuqsan paya ja raha hai.

Bas hikmat ka taqaza yahi hai ki salam se pahle Sajda Sahw kar liya jaye taki namaz se alag hone se pahle hi is nuqsan ko poora kar liya jaye. Aur uski daleel Hazrat Abdullah bin Buhaina (ra) ki riwayat hai.

“Nabiﷺ ne namaze Zuhr padhai aur aap ﷺ 2 rak’at ke bad tashahhud ke liye baitha baghair khade ho gaye. Phir jab namaz mukammal kar li aur log aapke salam pherne ka intezar karne lage to aap ﷺ ne baithe hue takbeer kahi aur 2 sajde kiye, phir salam phera.” (Saheeh Bukhari H# 1224, Saheeh Muslim H# 570)

Kami Ya Zyadati Ke Silsile Me Shak

Maslan ye shak ho jaye ki 4 rak’at padhi ya 3, to uski 2 soorate hain:

1. Admi ko kami ya zyadati me se kisi ek bat ki taraf zyada yaqeen hasil ho jaye. To is soorat me wo guman ghalib par rah kar salam ke bad Sajda Sahw kar lega jaisa ki Hazrat Abdullah bin Mas’ud (ra) se riwayat hai.

Aap ﷺ ne farmaya “Jab tum me se kisi ko namaz me shak ho jaye to wo sahi soorat-e-hal maloom karne ki koshish kare. Phir us par namaz ko pura kare. Uske bad salam pher kar 2 sajde kare.” (Saheeh Bukhari H# 401, Saheeh Muslim H# 572)

2. Kami ya zyadati me se kisi ek pahlu par tasalli hasil na ho to kami wale pahlu par rahkar namaz mukammal kare. Phir salam se pahle Sajda Sahw kar le. Nabi ﷺ se isi tarah manqool hai. (Saheeh Muslim H# 57, Ibn Majah H# 1210, Abu Dawood H# 1024)

Yani agar shak hai ki 3 rak’at hui ya 4 aur kisi bhi taraf yaqeen nahi ho raha ho to 3 rak’at man kar chalenge aur chauthi rak’at puri karke salam se pahle Sajda Sahw kar lenge.

Mazeed Baate

Jab koi 2 rak’at ke bad baghair tashahhud ke khada ho jaye to agar pura khada nahi hua hai to baith jaye aur agar puri tarah khada ho gaya hai to wo na baithe aur aakhir me Sajda Sahw kare. (Tirmizi H# 365)

Lekin dhyan rahe ki agar koi akhiri rak’at me bhool kar agli rak’at ke liye khada ho jaye (Jaise 2 rak’at namaz me teesri rak’at ke liye, ya 3 rak’at namaz me chauthi ke liye, waghairah…) to use wo rak’at puri nahi karna chahiye, balki jab bhi yad aye, fauran baith jaye, kyonki wo zyada hai. Han, namaz me zyadati ki wajah se wo Sajda Sahw karega.

Ummeed hai ki sajda sahw se jude bunyadi sawalo ka jawab mil gaya hoga. Agar kuch aur wazahat chahiye toh comment box me pooch sakte hain.

Jazakallah Khair.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button