Tayammum Ka Tarika
بسم الله والحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله
इस मज़मून को हिंदी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें.
Allah ne deen me bahut asani rakhi hai. Tayammum bhi usi ki ek misal hai. Napaki se paki hasil karne ka ek tariqa tayammum hai. Is post me hum Ahle Sunnat Wal Jama’at ki taleemat ke mutabiq Tayammum Ka Tarika, iski shuruat Islam me kaise hui, iski ijazat kab hai, waghairah ke bare me janenge.
Tayammum Ka Ma’na (Meaning)
Tayammum ka lafzi ma’na hai, irada karna jaisa ki Qur’an Majid me hai;
وَلَا تَيَمَّمُوا۟ ٱلْخَبِيثَ مِنْهُ تُنفِقُونَ
“Aur inme se buri chizon ke kharch karne ka irada na karna.” (Surah Baqarah: 267)
Allah ne deen me kafi asani rakhi hai. Taharat ke silsile me bhi Allah ne iman walon ke liye ek asani kar di hai. Wo ye ki agar pani na mile to wuzu ya ghusl ki niyyat karke khas tariqe se pak mitti kai sath chehre aur dono hathon ka masah karna hi taharat ke liye kafi hai. Isi ko tayammum kahte hain.
Tayammum Ki Ijazat Kab Hai?
Tayammum kai haalaat me jayaz hai. Kuch aam surate ye hain jinme tayammum ki ijazat hai:
⚫ Jab ye khauf ho ki koi dushman ya khatarnak janwar pani ke qareeb hai.
⚫ Ghar me pani nahi hai aur bahar curfew laga hai.
⚫ Pani sirf itna ho jo sirf pine ke liye hi kafi ho.
⚫ Jab pani ka istemal aapki sehat ke liye khatarnak ho.
⚫ Jab kunwe/nadi se pani nikalne ka koi zariya na ho (pani nikalne ke liye rassi ya balti na ho).
⚫ Jab aapke pas pani kharidne ke liye itne paise na hon jitne me becha ja raha hai.
⚫ Musafir ko safar me pani na mile ya pani ke maqam tak pahunchne par namaz ke chale jane ka khatra ho.
⚫ Jab pani ka namo nishan na ho aur koi batane wala na ho ki pani kahan se milega.
Tayammum Ki Shuruat Kaise Hui?
Ummul Momineen Aisha (ra) se rivayat hai ki “Hum Rasoolullah ﷺ ke sath safar par nikle. Jab Baida ya Zaate al-Habish tak pahuche to mere gale ka haar toot kar gir gaya, Rasoolullah ﷺ usko dhoondhne ke liye thahar gaye. Log bhi thahar gaye. Waha pani na tha, Abu Bakr (ra) mere pas aye. Unhone ghussa kiya aur mujhe bura bhala kaha.
Rasoolullah ﷺ meri raan (thigh) par sir rakh kar sote rahe yaha tak ki subah ho gayi aur pani bilkul na tha. Jab Allah Ta’ala ne tayammum ki ayat nazil farmayi to Sayyidna Asid bin Khuzair Ansari (ra) kahne lage “Ai Abu Bakr ki aulad! Ye tumhari pahli barkat nahi hai (yani isse pahle bhi tumhari wajah se Allah Ta’ala ne musalmano ko faida diya).’ Phir humne oont ko uthaya to uske niche se haar nikla.” (Bukhari H# 334, Muslim H# 816)
Janabat Ki Halat Me Tayammum
Sayyidna Imran (RA) riwayat karte hain ki hum Rasoolullah ﷺ ke sath safar me the. Aap ﷺ ne logo ko namaz padhai. Jab namaz se farigh hue to achanak aapki nazar ek admi par padi jo logon se alag baitha hua tha aur usne logon ke sath namaz nahi padhi thi.
Rasoolullah ﷺ ne unse puchha: “Ai fulan! Logo ke sath namaz padhne se tujhe kis cheez ne roka?” Usne kaha mujhe janabat pahunchi aur pani na mil saka. Aap ﷺ ne farmaya: “Tum par mitti (se tayammum karna) lazim hai. Pus wo tere liye kafi hai.” (Bukhari H# 344, Muslim H# 1563)
Zakhm Ya Marz Ki Halat Me Tayammum
Agar kisi kamzor ya bimar shakhs par ghusl farz ho jaye aur bahut zyada sardi ho ya pani bahut thanda ho aur ghusl karna uske liye nuqsan deh ho to use tayammum karke namaz padh leni chahiye.
Ehtelam wala shakhs, haiza (mahwari) aur nifas (bachche ki paidaish ke bad aane wale khoon) se farigh hone wali aurate bhi zarurat ke waqt tayammum karke namaz padh sakti hain. Isliye ki tayammum, uzr ya majboori ki halat me wuzu aur ghusl dono ke barabar hai.
❖ Sayyidna Ibn Abbas (ra) farmate hain ki sardi ka mausam tha. Ek admi ko ghusl janabat ki zarurat pesh ayi. Usne is bare me maloom kiya to use ghusl karne ko kaha gaya. Usne ghusl kiya jisse uski maut ho gayi.
Jab Rasoolullah ﷺ ko iski khabar di gayi to aap ﷺ ne farmaya: “Un logon ne use mar dala. Allah unko mare. Beshak Allah Ta’ala ne mitti ko pak karne wala banaya (yani woh tayammum kar leta).” (Ibn Khuzaima H# 273, Abu Dawood H# 337)
❖ Sayyidna Amr bin Aas (ra) ko Ghazwa Zaat-e-Salasil me bheja gaya. Wo bayan karte hain ki ek sakht sardi ki rat mujhe ehtelam ho gaya. Mujhe dar tha ki agar maine ghusl kiya to kahin halak na ho jaun. Lihaza maine tayammum kiya aur apne sathiyo ke sath Fajr namaz padh li.
Jab hum Rasoolullah ﷺ ke pas aaye to is bat ka zikr kiya gaya, aap ﷺ ne puchha: “Amr, tumne apne sathiyo ke sath halat-e-janabat me namaz ada kar li.” Maine kaha, “Nujhe Allah ka yeh farman yad aa gaya: ‘Aur apni nafs ko qatl mat karo, beshak Allah nihayat mehrban hai.’ Maine tayammum kiya aur namaz padh li.” Ye sunkar Rasoolullah ﷺ has pade aur kuch na kaha.” (Abu Dawood H# 334)
Tayammum Ka Tarika Kya Hai?
1) Sabse pahle tayammum karne ki niyyat yani irada dil se kare.
2) Phir pak zameen par ek bar hath mare,
3) Phir hatheli par phoonk mar kar gard-ghubar uda de.
4) Phir dono hatheliyon se apne chehre ka ek bar masah kare,
5) Phir baayi hatheli se daayi hatheli ke pichhe wale hisse ka masah karen.
6) Phir daayi hatheli se baayi hatheli ke pichhe wale hisse ka masah kare.
Sayyidna Ammar (ra) bayan karte hain ki wo safar ki halat me junbi (napak) ho gaye aur (pani na milne ki wajah se) mitti me lote aur namaz padh li. Phir (safar se aa kar) yeh hal Rasoolullah ﷺ ke samne bayan kiya to Aap ﷺ ne farmaya: “Tumhare liye sirf yahi kafi tha (aur) phir Nabi Akram ﷺ ne dono hath zameen par mare aur un par phoonk mari, phir unke sath apne munh aur dono hathon par masah kiya.” (Sahih Bukhari H# 338, Sahih Muslim H# 568)
Rasoolullah ﷺ ne Sayyidina Ammar (ra) se kaha ki “Tumhare liye sirf yahi kafi tha (aur) phir Nabi Akram ﷺ ne dono hath zameen par mare aur un par phoonk mari, phir unke sath aapne dono hathon par masah kiya, phir dono hathon se chehre ka masah kiya.” (Sahih Bukhari H# 347)
Tayammum Ke Masaail
1. Tayammum ke liye pak mitti ka hona zaroori hai. (Surah An-Nisa: 43)
2. Tayammum jaise mitti se jayaz hai isi tarah shaur wali zameen, ret, patthar aur pakki deewar jahan gard-ghubaar ho, se bhi jayaz hai.
3. Jo duaen wuzu ke bad padhi jati hain wahi tayammum ke bad bhi padhi jayengi kyonki tayammum, wuzu ka qayam maqam hai.
4. Isi tarah ek tayammum se (wuzu ki tarah) kafi namazen padh sakte hain.
5. Jin cheezon se wuzu toot ta hai unhi cheezon se tayammum bhi toot jata hai.
6. Jab tak ye majboori qayam rahegi, tayammum bhi badstoor jayaz rahega chahe ye wajah barson maujood rahe. Abu Zarr (RA) se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Pak mitti musalmano ka wuzu hai, agarche das sal bhi pani na paye.” (Abu Dawood H# 332, Tirmizi H# 124)
7. Agar namaz padh lene ke bad pani ki maujoodgi ka ilm ho jaye to use wuzu karke namaz dohrane ki zarurat nahi hai. Lekin koi agar dohara le to behtar hai.
Sayyiduna Abu Saeed (RA) se riwayat hai ki do admiyon ne tayammum kiya aur namaz padh li. Phir unhe pani mil gaya to ek ne namaz duhrai aur doosre ne namaz na duhrai. Phir unhone Rasoolullah ﷺ se puchha. Aap ﷺ ne us shakhs se kaha jisne namaz nahi dohrai thi: “Tumne sunnat par amal kiya aur tumhari (tayammum wali) namaz tumhare liye kafi hai.” Aur dusre shakhs se kaha jisne namaz dohrai thi: “Tumhare liye do guna sawab hai.” (Abu Dawood H# 338, Nasaai H# 433)
8. Lekin agar namaz ke dauran hi pani mil jaye to namaz chhod kar wuzu kare, ya agar halat-e-janabat me hai to ghusl kare. Kyunki Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Pak mitti musalmano ka wuzu hai agarche das sal bhi pani na paye. Lekin jab tumko pani mil jaye to use apne badan par baha lo kyonki isme bhalai hai.” (Abu Dawood H# 332, Tirmizi H# 124)
To ye tha tayammum ka tarika aur usse judi kai aur maloomat. Umeed hai ki isse aapke ilm me izafa hua hoga. Agar isse mutalliq koi sawal ho to niche comment box mein puhch sakte hain. Jazakallah Khair