Wazu Ka Tarika - Muttaqi
Taharat
Trending

Wazu Ka Tarika

इस मज़मून को हिंदी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें.

Namaz ke liye wuzu zaroori hai. Agar wuzu theek tarah se nahi hua to namaz bhi nahi hogi. Aksar dekha jata hai ki log namaz ki tarah Wazu Ka Tarika bhi ek doosre ko dekh kar seekh lete hain. Is bare me kisi janakar se poochhne ki ya to zarurat nahi samajhte ya jhijhak mahsoos karte hain. Aaiye, hum wuzu ki fazilat, wuzu kin cheezon se toot jata hai, wuzu ka tarika, aur wuzu se mutalliq kuchh aham baate dekhte hain. In Sha Allah. Lekin dhyan rahe ki badi napaki se paki hasil karne ke liye Ghusl zaroori hai.

Agar aap Tayammum ka tariqa janna chahte hain to yahan click kare.

Wuzu Ki Fazeelat

Hazrat Usman (ra) farmate hain ki Nabi ﷺ ne irshad farmaya: “Jo shakhs wuzu karta hai aur achhi tarah karta hai to uske gunah uske jism se nikal jate hain yahan tak ki uske nakhuno se bhi nikal kar jhad jate hain.” (Abu Dawood H# 1523, Nasaai H# 1338)

Hazrat Ibn Umar (ra) riwayat karte hain ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Wuzu ke bina namaz qubool nahi ki jati.” (Muslim H# 224)

Hazrat Abu Hurairah (ra) se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Jis shakhs ka wuzu toot jaye to jab tak woh wuzu na kare, Allah Ta’ala uski namaz qubool nahi karta.” (Bukhari H# 135, Muslim H# 225)

Wuzu Kin Cheezon Se Toot Jata Hai?

  1. Peshab ya pakhana karne se. (Bukhari H# 302)
  2. Pet ki hawa kharij hone se. (Bukhari H# 137, 187)
  3. Gehri neend, jo letne ya tek lagane se ho. (Sunan Tirmizi H# 96, Musnad Ali bin Ja’ad 3/336)
    Albatta sirf baith kar oonghne se nahi toot ta. (Muslim H# 835)
  4. Mazi nikalne se. (Bukhari H# 132, 178, 269)
  5. Istihaza se, yani woh khoon jo haiz (mahwari, periods) ke alawa kisi bimari ki wajah se ata hai. (Bukhari H# 228)
  6. Sharmgah ko hath lagane se. (wazahat aage aa rahi hai)
  7. Oont (Camel) ka gosht khane se.(wazahat aage aa rahi hai).

Wazahat

Sharmgah Ko Hath Lagane Se Wuzu Tootna

Nabi ﷺ ne farmaya: Jo shakhs apni sharmgah ko hath lagaye to woh Wuzu kare. (Muwatta Imam Malik, 1/42, Abu Dawood H# 181)

Lekin doosri hadees me ek sahabi ne poochha ki agar namaz me apni sharmgah ko chhoo lein to? To Aap ﷺ ne farmaya ki woh tumhare jism ka hi ek tukda hai. (Abu Dawood H# 182)

Yani jis tarah jism ke doosre hisson ko chhoone se wuzu nahi toot ta waise hi isko chhoone se bhi nahin tootega.

Is buniyad par ulama ke ek giroh ka maanna hai ki agar kapde ke upar se sharmgah ko chhua jaye to wuzu nahi tootega.

Jabki doosre giroh ka maanna hai ki agar shahwat ki halat me sharmgah chhuega tab wuzu tootega. kyonki aam halat me sharmgah bhi jism ke doosre hisse ki tarah hi hai. Yahi qaul behtar maloom hota hai.

Oont Ka Gosht Khane Se Wuzu Tootna

Ek sahabi ne Rasoolullah ﷺ se maloom kiya ki bakri ka gosht khane ke bad wuzu kare? Aap ﷺ ne farmaya ki chaho to kar lo. Phir unhonne maloom kiya ki hum Oont ka gosht khane ke bad wuzu kare? To Aap ﷺ ne farmaya ki haan, tum Oont ka gosht kha kar wuzu karo. (Muslim H# 802)

Qai, Nakseer Aur Khoon Bahne Se Wuzu

Qai ya nakseer aane se Wuzu toot jane wali riwayat ko, jo Ibn Majah (H# 1221) me hai, Imam Ahmad (rh) aur kai muhaddiseen ne zaeef kaha hai. Balki is silsile ki tamam riwayaten sakht zaeef hain. Isliye ‘Bara’at Asliya’ par amal karte hue (yah kaha ja sakta hai ki) khoon nikalne se Wuzu fasid nahi hota.

Iski tasdeeq us waqye se bhi hoti hai jo Ghazwa Zaat-ar-Raqa’ me pesh aaya. Ek Ansari Sahabi, jo kheme ki hifazat ke liye rat me pahra de rahe the, rat ko namaz padhne lage to kisi dushman ne un par teen teer chalaye jinki wajah se woh sakht zakhmi ho gaye aur unke jism se khoon bahne laga magar iske bawajood woh apni namaz me mashghool rahe. (Abu Dawood H# 198, Ise Imam Hakim (1/156) aur Zahabi ne sahih kaha hai)

Ye ho hi nahi sakta ki Rasoolullah ﷺ ko is waqye ka pata na hua ho ya Aap ﷺ ko pata hua aur Aapne unhe namaz dobara padhne ya khoon bahne se Wuzu toot jane ka mas’ala na bataya ho, magar hum tak ye khabar na pahunchi ho.

Isi tarah jab Hazrat Umar (ra) jab zakhmi kiye gaye to who isi halat me namaz padhte rahe, halanki unke jism se khoon bahta tha. (Muwatta Imam Malik 1/39, Baihaqi 1/357)

➤ In sabse maloom hua ki khoon bahne se Wuzu nahi toot ta hai.

Mazi Nikalne Se Wuzu

Hazrat Miqdad (ra) ne Rasoolullah ﷺ se maloom kiya ki Mazi nikalne se ghusl wajib hota hai ya nahi? To Aap ﷺ ne farmaya: “Mazi nikalne se ghusl wajib nahi hota, apna zakar (ling) dho dalo aur Wuzu karlo.” (Bukhari H# 132, 178, 269, Muslim H# 303)

Hawa Nikalne Se Wuzu

Rasoolullah ﷺ ke samne ek aise shakhs ki halat bayan ki gayi jise khyal aya ki namaz me uski hawa nikli hai to Nabi ﷺ ne farmaya: “Namaz us waqt tak na todo jab tak (hawa nikalne ki) awaz na sun le ya use badboo mehsoos ho.” (Bukhari 187)

Is hadees se maloom hua ki jab tak hawa nikalne ka pakka yaqeen na ho, wuzu nahi toot ta. Isliye jise peshab ki boondon ya waham ki bimari ho, use bhi jaan lena chahiye ki wuzu ek haqiqat hai, ek yaqeen hai. Ye yaqeen se hi toot ta hai, shak ya waham se nahi.

Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Agar namaz me Wuzu toot jaye to nak par hath rakh kar lauto.” (Abu Dawood 1141, Ise Hakim aur Zahabi ne sahih kaha hai)

Wuzu ka Tarika

  1. Wuzu karne se pahle dil me wuzu karne ki niyat kare.
  2. Wuzu ke liye pak pani le.
  3. Wuzu ke shuru me Bismillah zaroor padhna chahiye kyonki Rasoolullah ﷺ ne sahaba kiram (ra) se farmaya: “Bismillah kah kar wuzu karo.” (Nasaai H# 78, Ibn Khuzaima H# 144)
    Nabi Akram ﷺ ne farmaya jo shakhs wuzu ke shuru me Bismillah nahi kahta uska wuzu nahi. (Abu Dawood H# 101)
    Agar Bismillah bhool gaye aur wuzu ke dauran yad aaya to fauran padh le, wuzu dobara karne ki zarurat nahi kyonki bhool maf hai.
  4. Nabi Akram ﷺ ne farmaya ki agar mujhe apni ummat par mashaqqat (hardship) ka darr nahi hota to main har namaz ke sath miswak ka hukm deta. (Bukhari H# 887, Muslim H# 252)
  5. Pahle apne dono hath kalai (wrist) tak teen bar dhoen. (Bukhari H# 159, Muslim H# 268)
  6. Hathon ko dhote waqt hathon ki ungliyon ke beech khilal kare. (Abu Dawood H# 142, Tirmizi H# 38)
  7. Phir ek chullu pani lekar aadhe se kulli kare aur aadha nak me dale aur nak ko baaye hath se saf kare. Ye amal teen bar kare. (Bukhari H# 191, 199, Muslim H# 235)
    Kulli aur nak me pani dalne ke liye alag-alag pani lene ka suboot bhi ek aur hadees me milta hai. (Tareekh al-Kabeer la Ibn Abi Khaithama page# 588 H# 1410, hadees hasan)
  8. Phir teen bar munh dhoen. (Bukhari H# 185-186, 192, Muslim H# 235)
  9. Phir ek chullu pani lekar use thodhi (chin) ke neeche dakhil karke dadhi ka khilal kare. (Tirmizi H# 31)
  10. Phir daaya hath kohni tak teen bar dhoen, uske bad baaya hath kohni tak teen bar dhoen. (Bukhari H# 1934, Muslim H# 236)
  11. Phir sir ka masah kare. Iska tariqa ye hai ki dono hath sar ke agle hisse se shuru karke guddi tak le jayen. Phir peechhe se aage usi jagah le aayen jahan se masah shuru kiya tha. (Bukhari H# 185, Muslim H# 235)
  12. Aap ﷺ ne sir ka masah ek bar kiya. (Bukhari H# 186, Muslim H# 235)
  13. Phir kaanon (ears) ka masah is tarah kare ki shahadat ki ungliyan donon kaanon ke surakho (holes) se guzaar kar kaanon ki peechhe angoothon ke sath masah kare. (Ibn Maaja H# 439, Tirmizi H# 36)
    Agar ba-Wuzu ho kar sar par amama (pagdi) bandha ho to dobara Wuzu karne ki soorat me is par masah jayaz hai basharte ki use khola na ho. Sayyadna Abu Umamah (ra) amama par masah karte the. (Musannaf Ibn Abi Shaiba H# 222, Sanad hasan) Sayyadna Abu Musa Ash’ari (ra) ne topi par masah kiya. (Tareekh al-Kabeer Imam Bukhari 1/428, Sanad sahih)
  14. Phir daayan paanv takhno tak teen bar dhoe aur baayan paanv bhi takhno tak teen bar dhoe. (Bukhari H# 1934, Muslim H# 226)
    Nabi ﷺ ka irshad hai “Khushk ediyon (dry heels) par aag ka azaab hai. Wuzu khoob achhi tarah kiya karo.” (Muslim H# 570, Abu Dawood H# 97)

Wuzu Se Mutalliq Kuchh Aham Baaten

Wuzu ke dauran pani barbad na kare.
Jab Wuzu kare to hatho aur pairo ki ungliyon ka khilal karna na bhoole. (Tirmizi H# 39, Ibn Majah H# 447)
Pairon ki ungliyo ka khilal hath ki chhungli (chhoti ungli) se karna chahiye. (Abu Dawood H# 148, Tirmizi H# 40)
Wuzu ke dauran jism ke hisson ko 1 bar ya 2 bar dhona bhi Nabi ﷺ se sabit hai. (Bukhari H# 157, 158) Lekin dhyan rahe ki Wuzu wale hisson me se koi hissa sookha na rah jaye.
Wuzu ke dauran jism ke hisson ko teen bar se zyada na dhoen. Teen bar se zyada dhone wale ko Nabi ﷺ ne zyadati aur zulm karne wala bataya. (Abu Dawood H# 135)
Hazrat Abdullah bin Umar (ra). ne farmaya ki agar zakhm par patti bandhi hui ho to Wuzu karte waqt patti par masah kar len aur aas pas ke hisse ko dho len. (Baihaqi 1/228)
Wuzu wale kisi hisse par aata, mitti, tar coal ya isi tarah ki koi aur cheez lagi ho to use khurach (scratch) kar nikal den, kyonki inki maujoodgi me who hissa sookha rah jane ka khatra hai. Albatta agar kisi bimari ki wajah se wahan kuchh laga ho to phir us par masah kar le.
Nakhuno par paint ya nail polish waghairah lagi ho to Wuzu ke waqt remover ki madad se use hata kar nakhun saf kar len kyonki nail polish se pani nakhun tak nahi pahunchta. Haan mehndi chunki nakhun aur pani ke darmiyan rukawat nahi banti, isliye mehndi lagi hone par Wuzu durust hai.
Wuzu ke dauran batcheet ki manahi ke bare me koi hadees nahi hai. Isliye zarurat ke mutabiq batein ki ja sakti hain. Albatta gandi aur behuda batein usi tarah mana hai jis tarah aam halaat me mana hoti hain.
Agar kisi bartan jaise lota, mug waghairah me pani lekar Wuzu kiya jaye to bartan me bach jane wale pani ko khade hokar pee len ya kisi aur maqsad ke liye istemal kar len magar ise bina wajah barbad na kare.
Hazrat Ali (ra). ne ek bar Wuzu kiya. Phir baqi bache pani ko khade hokar pee liya aur farmaya ki log khade hokar pani peene ko bura samajhte hain, halanki Nabi Akram ﷺ bhi isi tarah karte the jis tarah maine kiya hai. (Bukhari H# 5616)

Ghaur Talab Baat

Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Kaanon (ears) ka talluq sir se hai.” (Sunan Dar Qutni 1/98). Ise Ibn Jauzi (rh) waghairah ne sahih kaha hai.
Iska matlab ye hai ki kaanon ke masah ke liye naye pani (yani dobara pani) lene ki zarurat nahi. Aur ye matlab bhi ho sakta hai ki kaanon ka hukm chehre wala nahin hai ki unko dhoya jaye balki unka hukm sar wala hai, yani unka masah kiya jaye.
Kaanon ke masah ke liye naye pani lene wali riwayat ko Hafiz Ibn-e-Hajar (rh) ne Shaz (Yani Zaeef ki ek qism) kaha hai. Yani ye hadees sahih nahi hai.
Hafiz Ibn-e-Qayyim (rh) farmate hain ki (guddi ke niche) gardan ke (alag) masah ke bare me koi sahih hadees nahi hai.
Gardan ke masah ki riwayat ke mutalliq Imam Nawawi (rh) farmate hain: “Ye hadees bil-ittifaq Zaeef hai.”

Wuzu Ki Dua

Wuzu karne ki duaon ko teen hisson me taqseem kiya ja sakta hai,

  1. Wuzu shuru karne se pahle ki dua
  2. Wuzu ke darmiyan ki dua
  3. Wuzu ke bad ki dua

Wuzu Shuru Karne Se Pahle Ki Dua

Rasoolullah ﷺ farmate hain: “Jisne Wuzu se pahle Bismillah nahi kaha, uska Wuzu nahi.” (Ibn Majah H# 397)

Isse pata chala ki Wuzu shuru karte waqt Bismillah zaroor padhna chahiye.

Wuzu Ke Darmiyan Ki Dua

Nabi ﷺ se kisi bhi Sahih ya Zaeef hadees se Wuzu ke dauran koi bhi dua ka suboot nahi milta. Balki Sahaba me bhi kisi se is bare me kisi dua ka suboot nahi hai.

Lekin hairani wali bat hai ki kuchh Hazraat Wuzu ke dauran har hisse ko dhote hue pahla kalima ya aur koi khud se banayi hui dua padhne ki takeed karte hain jo ki sarasar ghalat aur Quran aur hadees ke khilaf hai.

Imam Nawawi (rh) farmate hain: “Jahan tak Wuzu ke dauran jism ke mukhtalif hisson ko dhote waqt padhi jane wali duaon ka talluq hai, to aisi koi bat Nabi ﷺ se sabit nahi hai.” (Al-Azkaar Page 30)

Wuzu Ke Bad Ki Dua

Rasoolullah ﷺ ne farmaya, jo shakhs poora Wuzu kare aur phir kahe:
أَشْهَدُ أَنْ لَّا إِلَّا اللهُ وَحْدّهُ لَا شَرِكَ لَهُ, وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
“Main gawahi deta hoon ki Allah ke siwa koi sachcha ma’bood nahi. Woh akela hai. Uska koi shareek nahi aur main gawahi deta hoon ki Muhammad ﷺ Allah ke bande aur Rasool hain.” To uske liye Jannat ke 8 darwaze khole jate hain, jisse chahe dakhil ho. (Sahih Muslim H# 553)

Abu Dawood (H# 170) ki ek riwayat me is dua ko asman ki taraf nigah uthakar padhne ka zikr hai magar ye riwayat zaeef (ghair moatbar) hai, ismen ek rawi Abu Aqeel ka chachazad bhai na maloom hai.

Wuzu Ke Bad Ye Dua Bhi Padh Sakte Hain

سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ
“Aye Allah! Tu apni sari tareefon ke sath (har burai se) pak hai. Main gawahi deta hoon ki tere siwa koi sachcha ma’bood nahi hai. Main tujhse mafi mangta hoon aur tere samne tauba karta hoon.” (Abu Dawood H# 4859)

Kuch log Tirmizi Shareef ki ek dua “Allahumma inni minat-tawwabeena waj’alni minal-mutatahhireen” bhi batate hain magar khud Imam Tirmizi (rh) ne isse muztarib (zaeef ki ek qisam) qarar diya hai. (Tirmizi H# 55)

Iske alawa jo bhi duaen sahih hadeeson se sabit hain, padhi ja sakti hain.

Ye tha wazu ka tarika aur usse judi kai aur maloomat. Ummeed hai ki isse aapke ilm mein izafa hua hoga. Isse mutalliq koi sawal ho toh niche comment box mein puchh sakte hain.

Jazakallah khair.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button