Hadees Aane Ke Bad 'Agar Magar' - Muttaqi
Islah

Hadees Aane ke bad ‘Agar Magar’

इस मज़मून को हिंदी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें.

Sayyadna Abdullah ibn Umar (RA) se kisi ne puchha ki admi jab Tawaf kar raha hota hai to Hajr-e-Aswad ko chumna chahiye ya ishara karna chahiye? Yani Istelam karna chahiye. (Istelam ke 2 Ma’ne Ho sakte hain, Hath lagana Aur Ishara karna)

Sayyadna Abdullah ibn Umar (RA) ne farmaya:

رَاَیتُ رَسُوْلَ اللہ ﷺ یسْتَلِمُہُ وَیقَبِّلُہُ
Maine dekha ki Nabi ﷺ Hajr-e-Aswad ko chumte bhi the aur Hajr-e-Aswad ki taraf ishara bhi karte the. (Yani Istelam Bhi karte the).

Wo Admi kahne laga:

أَرَأَيْتَ إِنْ زُحِمْتَ؟
Ai Abdullah ibn Umar (RA)! Apka kya khyal hai ki agar bheed, Hujoom ho jaye to kya kare?

To Abdullah ibn Umar (RA) farmate hain;

إِجْعَلْ أَرَأَيْتَ بِالْيَمَنِ
Ye ‘Agar magar’  ko ko dafa karo. Isko Yemen me chhod do (Shayad isliye ki wo shakhs Yemen ka tha.) (Yani yahan Agar Magar nahin chalega aur Hadees ke Muqable me Agar Magar nahin hai)

رَاَیتُ رَسُوْلَ اللہ ﷺ یسْتَلِمُہُ وَیقَبِّلُہُ
Maine dekha hai ki Nabi Kareem ﷺ Hajr-e-Aswad ko chumte bhi the aur ishara bhi karte the.
(Sahih Bukhari H# 1611)

Ye hai Sahaba Kiram (RA) ke Iman ka Darja aur Jazba, aur yahi wajah hai ki Allah ne unhe certificate diya hai,

لَقَدْ رَضِيَ اللہُ عَنْھُم وَرَضُوْا عَنْہُ

Allah unse Razi wo Allah se Razi.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button