Salatul Tasbeeh Namaz Ka Tarika
بسم الله والحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله
इस मज़मून को हिंदी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें.
Ho sakta hai ki aap google par salatul tasbeeh namaz ka tarika ya salatul tasbeeh ki namaz ka tarika search karke is post par aaye hon. lekin haqeeqat ye hai ki Salat jo ki Arabi lafz hai, usi ko Urdu me Namaz kahte hai. Yani isko ya to namaze tasbeeh kaha jaye ya salatul tasbeeh. Is post me aap Ahle Sunnat wal Jama’at ki taleemat ke mutabiq is namaz ki fazeelat, isko padhne ka waqt, iska pura aur sahih tariqa aur isse jude masaail ke bare me janenge. In sha Allah.
5 waqt ki namaz ka sahih, sunnat ke mutabiq aur poora tareeqa janne ke liye yahan click kare.
Salatul Tasbeeh Ki Fazeelat
Ye ek nafli namaz hai jo badi fazeelaton wali hai. Iske zariye se Allah Ta’ala hamare agle-pichle, purane-naye, jane-anjane me kiye gaye tamam chote bade, chupe zahir gunah maaf farma deta hai. Isko tasbeeh ki namaz isliye kaha jata hai kyunki isme har rak’at me kuch khas tasbeehat alag se padhi jati hai.
Salatul Tasbeeh ki Namaz Ka Time
Allah ke habeeb ﷺ ne is namaz ko padhne ka koi khas waqt nahi bataya hai. Ye namaz 24 ghanton me kisi bhi waqt padhi ja sakti hai siway makrooh waqt ke jo ki din bhar me 3 hain: suraj nikalte waqt, zawaal ke waqt (yani jab hamari parchhaa sabse chhoti hoti hai, tab se le kar 15-20 minute baad tak) aur suraj doobte waqt. Nabi ﷺ ne is namaz ko har roz, har hafte, har maheene, har saal ya zindagi me kam se kam ek bar padhne ki targheeb di hai.
Salatul Tasbeeh Namaz Ka Tarika
Ab sabse bada sawal ye hai ki Namaze Tasbeeh ka tarika kya hai?
Is namaz ka koi khas alag tariqa nahi hai. Jis tarah 4 rak’at nafl ya sunnat padhi jati hai, usi tarah isko bhi padha jata hai. Bus isme kuch khas kalimat zyada padhe jate hain. Namaze Tasbeeh ke tarike ke bare me Nabi Akram ﷺ ki sabit shuda hadees ke alfaz ka khulasa is tarah hai:
1. Sabse pahle 4 rak’at nafl ki niyat ki jaye. Dhyan rahe ki niyat dil ke irade ka nam hai, na ki zaban se dohrane ka.
2. Ab pahli rak’at is tarah padhe ki pahle surah Fatiha padhe aur uske bad koi ek surat padhe.
3. Phir qir’at ke bad ruku se pahle, halate qiyam me hi “Subhanallahi Wal-Hamdulillahi Wala Ilaha Illallahu Wallahu Akbar” 15 bar padhe.
4. Phir ruku kare aur ruku ki tasbeeh (Subhana Rabbiyal Azeem) padhne ke bad yahi zikr 10 bar padhe.
5. Phir ruku se uthkar Samiallahu Liman Hamidah, Rabbana Lakal Hamd kahne ke bad isko 10 bar padhe.
6. Phir pahle sajde me sajde ki tasbeeh (Subhana Rabbiyal A’ala) padhne ke bad yahi zikr 10 bar padhe.
7. Phir sajde se uthe aur darmiyani jalsa me 10 bar padhe.
8. Phir dusre sajde me jaye aur sajde ki tasbeeh padhne ke bad yahi zikr 10 bar padhe.
9. Phir sajde se uthkar baithe aur jalsa istiharat me (Yani sajda karke khade hone se pahle baith kar) 10 bar padhe. (Yani ek rak’at me kul 75 tasbeehat)
10. Isi trah charon rak’ate padhe. Har rak’at me 75 bar Tasbeehat padhi jaye. Poori namaz me inko 300 bar padha jayega.
11. Dusri aur chauthi rak’at ke Tashahhud me in Tasbeehat ko At-tahiyyat se pahle padha jayega.
12. Ye namaz har roz, har hafte, har mahine, har sal, ya zindagi me kam se kam ek bar padhe.
Note: Is namaz ka ek aur tariqa mashhoor hai. Is tariqe me Qiyam ki halat me wo khas kalimat 15 ki jagah 25 bar padhne ka zikr hai. Aur 2 sajdo ke bad khade hone se pahle 10 bar wo kalimat padhne ka zikr nahi hai. Yani puri namaz me un tasbeehat ki ginti 300 hi rahti hai. Lekin ye tariqa Nabi ﷺ ya Sahaba (RA) me kisi se bhi sabit nahi hai. Balki Tabe-Tabaee Abdullah Ibne Mubarak (rh) jo ki sahaba ke shagird ke shagird hain. Unse sabit hai. (Dekhiye Tirmizi H# 481)
Isliye behtar yahi hai ki jo tarika Allah ke Habib ﷺ se sabit ho usi par amal karna chahiye. Kyunki Allah ne farmaya: Yakinan tumhare liye rasool Allah me behtreen namoona (maujood) hai. (Qur’an 33:21)
Salatul Tashbeeh Ki Daleel
Sayyidna Abdullah Ibne Abbas (RA) se riwayat hai ki Nabi Akram ﷺ ne Abbas Bin abdul Muttalib (RA) ne farmaya: Ae chacha Abbas! Kya main aapko ek hadiya na dun? Kya aapko kuch tohfa inayat na karun? Kya main aapko 10 baaten na sikha dun ki jab aap wo amal kare to Allah apke agle-pichle, purane-naye, anjane me aur jaan bujhkar kiye gaye tamam chhote bade, chhupe aur zahir gunah maf farma de? (wo ye) ki:
Aap 4 rak’at nafl is tarah ada karen ki har rak’at me Surah Fatiha aur koi dusri surat padhe. Jab aap us Qir’at se farig ho jayen to qiyam ki halat me yah kalimat 15 bar padhen:
سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ
(Subhanallahi Walhamdu Lillahi Wala Ilah Illallahu Wallahu Akbar)
Phir aap ruku me jaye (ruku ki tasbeehat se farigh hokar) ruku me bhi unhi kalimat ko 10 bar dohraen. Phir aap ruku se uth jayen aur (Samiallahu Liman Hamidah se farigh hokar) 10 bar yahi kalimat padhe.
Phir sajde me jayen (sajde ki tasbeehat aur duaa padhne ke bad) yahi kalimaat 10 bar padhen. Phir sajda se sar uthaen aur (jalsa me jo duaen hai wo padhkar) 10 bar unhi kalimat ko dohraen aur Phir (dusre) sajde me chale jayen (pahle sajda ki tarah) 10 bar phir us tasbeeh ko ada karen. Phir sajda se sar uthaen (aur jalsa istirahat me kuch aur padhe baghair) 10 bar is tasbeeh ko dohraen. Ek rak’at me kul 75 tasbeehat huin. Is tarah charon rak’at me yah amal dohraen.
Agar aap taqat rakhte hon to ye rozana ek bar padhe, aur aap aisa na kar sake to hafte me ek bar padhe. Ye bhi na kar sakte ho to mahine me ek bar padhe. Ye bhi na kar sake to sal me ek bar, agar aap sal me bhi ek bar aisa na kar sakte ho to zindgi me ek bar zaroor padhe. (Abu Dawood H# 1297, Ibne Majah H# 1387, Sahih Ibne Khuzaima H# 1216)
Jamhoor (aksar) muhaddiseen ne isko sahih ya hasan kaha hai. Jaise Imam Muslim (rh) (Al Irshad Lil Khalili 1/326), Abubakr Bin Dawood (rh) (As Sikaat La Ibne Shahin #1356), Imam Hakim (rh) (Ittihaf Al Muhrah 7/484). Hafiz Ibne Hajar (rh) Farmate hain ki ye hadees kasrate turk (yani kai sanado) ki bina par hasan darje ki hai.
Shekh Albani (rh) farmate hain ki Imaam Hakim (rh) Aur Hafiz Zahbi (rh) ne is hadees ki taqwiyat ki taraf ishara kiya hai aur ye haq hai kyunki iske bahut se turq hain. Allama Mubarakpuri (rh) aur Shaikh Ahmad Shakir (rh) ne bhi ise Hasan kaha hai. Jabki Khatib Bagdadi (rh), Imaam Nawwi (rh) aur Ibne Salah (rh) ne ise Sahih kaha hai.
Salatul Tasbeeh Ko Jamat Se Padhna
Yad rahe ki hadees sharif me namaze tasbeeh ko ba-jam’at ada karne ka zikr nahi hai. Sirf akele amal ke taur par Nabi Akram ﷺ ne apne chahca ko iski targeeb di hai. Lihaza jo musalman namaze tasbeeh ada karna chahe use chahiye ki pahle namaze tasbeeh ka tarika sikhle. Fir use tanhaai me akela padhe.
Ye inthai khatarnak hai ki koi banda farz namazo par to tawajjo na de magar namaze tasbeeh (ba-jam’at) ada karne ke liye har waqt betab rahe. Lihaza farz namaz chhodne walo ko pahle sachchi tauba karni chahiye. Fir wo namaze tasbeeh padhe to use yaqeenan faida hoga. Insha Allahul Aziz.
Note: Tashahhud me tasbeehat ko at-tahiyyat se pahle padhe. Bakhilaf dusre arkan ke jin men ye tasbeehat bad me padhi jati hain.
Namaze tasbeeh ke bad padhi jane wali dua ki sanad zaeef hai. Iske ravi Abdul Quddus Bin Habib ko Hafiz Husaimi (rh) ne matruk aur Abdullah Bin Mubarak (rh) ne jhutha kaha hai.
Kuch Zaruri Masaail
1. Imam Ibne Mubarak (rh) ki tahqeeq ye hai ki agar ye namaz rat me padhi jaye to har 2 rak’at par salam pher de aur agar din me padhi jaye to marzi hai ki ek sath 4 rak’at padhen ya 2-2 karke padhe. (Tirmizi Hadees 481, Mustadrak Hakim 1/319-320)
2. Isme qir’at sirri (dhimi awaz se) hi masnun hai lekin rat me mamuli awaz se qir’at karna bhi jayaz hai. (Al Fatawa Kubra Lil Baihqi 1/191)
3. Imam ibne Mubarak (rh) ke nazdeek agar koi shakhs us namaz me kuch bhool jaye to sajda sahw me 10 tasbeehat nahi padhega balki aam namazo ki tarah sajda ki duaen padhega. Isliye ki is hadees me tasbeehat ki kul tadad 300 hai. (Tirmizi H# 371)
Hazrat! Ye thi salatul tasbeeh se judi moatbar maloomat. Humari puri koshish hai ki ham logo tak ahle sunnat wal jam’at ki taleemat ke mutabiq deen ko pahuchaye.
Jazakallahu Khair.